Tumgik
#kashmakash
kash-makash · 8 months
Text
Somedays you need miss Austen,while other days makes you besties with Kafka...!!
2 notes · View notes
rehmanjafar · 2 years
Text
Kashmakash
Main zindagi is kashma-kash main to kaafi waqt se raha. Shayad kuch aur cheez mai masroofiyat hoti toh behtar hota. Har raat hum kashma-kash mai hote hai aur raat guzar jaati hai, ek raat aisi aaegi ki raat kashmakash main hogi aur hum guzar jaenge.– unknown Zindagi ke kuch pichle 10 saal bade ajeeb guzre. Yun kaho ki main bada ho chala tha, school nipat gaya tha aur ab sar par zimmedariyan…
Tumblr media
View On WordPress
0 notes
Text
Kashmakash Zindagi Ki | Sad Love Shayari Hindi Me
Kashmakash Zindagi Ki :
" अजीब कश्मकश हे ज़िंदगी की,
मना करो तो "रिश्ते' रूठते हे,
और हाँ कहो, तो "दिल" । "
Tumblr media
Continue To Read....
https://baatenkuchankaheesi.blogspot.com/2022/07/zindagi-kashmakash-dil-rishte-sad-hindi-shayari-2022.html
1 note · View note
bareillyki-barfi · 1 month
Text
aakhir chahiye kya aurat ko?
Gar kabhi me Ruth jau toh tum pyaar se mna liya krna,
Tum aur me alg toh nhi khana kbhi me banau toh kbhi tum bna liya karna.
Kabhi ghar ko der se aao toh toh sath ek phool le aana,
Tumahara thoda waqt maangu toh pal bhar ke liye hi sahi duniya ko bhool jana.
Koi takleef ho tumhe toh meri god me sar rakh kr sojana,
Vese bhi iss kashmakash me kahan milega mujhe waqt tumhara rozana.
Zindagi naa jaane kb Rukh mod le , pyaar aaye toh jta Diya karna,
Pura haq hai tumhara mujh par , lgu me kbhi galat toh bta Diya krna.
Tum aur me alag toh nhi saamne rone ka Mann ho toh katrana mat,
Kahin me smjh na Pau tumhe is baat se ghabrana mat.
Aur tum jo puchte ho naa aakhir chahiye kya mujhe?
Toh suno. tumhara pyaar. Tum. Aur sirf tum.
30 notes · View notes
tasavvur-e-jaana · 10 months
Text
tum
//
sej par kitaabon mein uljha hua main, aur khidki par latein suljhati hui tum, angrezi ke shabdon mein atka hua main, aur khilkhila kar wo lafz dohraati hui tum, tumhe sher o' ghazal sunaataa hua main, aur mujhe sonnet samjhaati hui tum.
kis qadr tumhari zubaan mein katraata hua main, aur samne urdu ke ashaar si lubhaati hui tum. kurbat ke khayaal se ghabraata hua main, aur falak ki ek noor si nazdeek aati hui tum.
surkh saareeyon se almaari bharta hua main, aur mere kurte ko daaman pe sajaati hui tum. in palon ko os ki boondon sa pirotaa hua main, aur apne hothon pe ishq e tarrannum gungunati hui tum.
soz e ishq e sawaar e ilaaj khojta hua main, aur ek mohabbat ki aatish jalaati hui tum. ikraar ki kashmakash mein dooba hua main, aur ek nigaah se mujhe apna banaati hui tum.
sej par kitaabon mein uljha hua main, aur khidki par latein suljhati hui tum.
//
@ronaldofandom - aashaa hai aapko pasand aayega
@carminavulcana
40 notes · View notes
rogu3-chef · 2 months
Text
Zindagii jeene ki kashmakash me, zindagi jeena bhul gaya
Pyaar karne ki guftagu me pyaar Lena bhul gaya.
Zindagi ki kasauti me daav khelna bhul gaya
Rone ki aadat ho chuki kyunki ab main hansna bhul gaya
12 notes · View notes
verses-n-moon · 2 months
Text
Takleef? Aziyat? kisi aesy shahks se baat karne ke liye tarasna jis ke baare mei ap jaante hon ke "ap uske liye koi mayeny nahi rakhte" aur phir is kashmakash mei mubtala rehna baat krun ya aj phir se khamosh rahun. >>>> [Via - Hazel Clouds]
8 notes · View notes
Text
Tumblr media
وہ جو دی ہیں بد دعائیں تم کو بد حواسی میں..
مجھے ان کے قبول ہو جانے سے ڈر لگتا ہے.
اگر دوں دعائیں خوش رہنے کی..
مجھے بھول جائے گا، اس بات سے ڈر لگتا ہے.
عجیب کشمکش میں ڈال گیا تو مجھکو ..
حرام خودکشی ہے اور مرجانے سے بھی ڈر لگتا ہے... ..
Vo jo di hain bad-duayein tum ko bad-hawasi mein..
Mujhe un ke qubool ho jane se dar lagta hai..
Agar dun duayein khush rehne ki
Mujhe bhool jaye ga, is bat se dar lagta hai..
Ajeeb kashmakash me daal gaya hai tu mujhko.
Haraam khud-khushi hai or mar jaane se bhi dar lagta hai
17 notes · View notes
shayaranasafar · 2 months
Text
<Ghazal> :
Zindagii bhar yun mehrbaan hona pasand aaya,
humein khaamosh zabaan hona pasand aaya.
Zindagii kii bhaagdaur mein log masruuf hain,
humein kisii ke dil ka makaan hona pasand aaya.
Kaun rakhta hai aajkal gulaab, kitaabon mein,
humein mohabbat ka nishaan hona pasand aaya.
Kashmakash mein log haar qubuul karte hain,
'aks' ko haar mein chattaan hona pasand aaya.
© Aks Akshita Aks
3 notes · View notes
deeepxwords · 1 year
Text
sawal!
Mere kuch sawal h tumse, jinhke jawab thode saaf m chahta hu. ya kehlo baarishon m, mein patang udana chahta hu.
Puchna chahta hu mein ush muskaan ki wajah jo humare nazaro ke millne se aati h jaanna h mujhe aankho ke raunak ka karan,jb muskaan thodi jyda badh jaati h.
puchunga mei ish kashmakash ke wjh ush kayamat ki raat ko, ya kehlo vo raat kayamat se ban jaege jb puchunga ye sawal m tumko.
-theboywhowrites
10 notes · View notes
kash-makash · 8 months
Note
What does kashm kash means? What language is it urdu Or hindi?
It is an Urdu word. Kashmakash means struggle or dilemma.
I've used it bc I have a wavering mind, who always in a dilemma regarding general things in life. So for me, life is a kashmakash!!
2 notes · View notes
wannabewritersposts · 2 years
Text
تنگ آ چکے ہیں کشمکشِ زندگی سے ہم
ٹھکرا نہ دیں جہاں کو کہیں بے دلی سے ہم
Tang agye hein kashmakash-e-zindagi se hum
Thukra na dein jahan ko kahin be-dili se hum
–Sahir Ludhianvi
We have gotten tired of the whirlpool of life
Might we not push away the world from ourselves with heartlessness
23 notes · View notes
mr-oye · 1 year
Text
Ak Mukammal Kashmakash Hai zindagi Usne Hamse Dosti karke hamari zindagi ko bhi Kashmakash me daal diya he
3 notes · View notes
Text
Noor hai uss chehre pe jisko nafs pe kaabu raha,
Takleef me hu me shaitaan-e-insaan bana raha
Woh harr waqt samjhaati rahi, main harr waqt nafarmaniyaan karta raha
Kho chuka tha use, lekin uski aanhein bharta raha
Shab-e-noor si fazilat thi uski aur mein ghane badalo sa raha
Bhatak chuka tha me iss daur-e-kashmakash me,
Zameen se utha, par woh asmaan na raha
Noor tha uss chehre pe jisko nafs pe kaabu raha,
Takleef me hu me shaitaan-e-insaan jo bana raha.
- Adnan Asif
Tumblr media
Takleef mein hai hum unhe takleef mein deke
Bhul jaate hai
Achi seerat wale insaan
Shaitaan-e-insaan nahi kehlaate
Kehte hai samaj na paaye hamari baaton ko
Bhul jaate hai
Samaj chuke hamare har alfaazon ko
Unhe laga wo humein kho chuke hai
Bhul jaate hai
Azmaishein hazaar karlein
Rehne wale, reh jaate hai
Jaane wale, chale jaate hai
Wo kehte hai ki wo ghane badal se hai,
Ghane badal hi toh baarishein le aate haii .
- Noor Us Saba
15 notes · View notes
tasavvur-e-jaana · 8 months
Text
Koi Dost
Wo koi dost tha khushi ke waqt ka, Jo aaj rehte rehte yaad aa raha hai.
Wo koi yaar tha aziz yaadon ka, Jo kal raat se bechaini badha raha hai.
Tera woh paimaan-e-wafaa mere liye, Phir tera jalta hua shav yaad aa raha hai.
Ab sambhalna hai namumkin e dost, Tu kashmakash mein ajab yaad aa raha hai.
Vaabasta woh meri nazar se guzre, Phir tera zakhm-o-lahu yaad aa raha hai.
Tujhe bhool na jaun, use maaf bhi kar doon, Woh jidd-o-jahd ka sabab yaad aa raha hai.
//
aziz - precious paimaan e wafaa - promise of loyalty vaabasta - to be connected jidd o jahd - struggle
24 notes · View notes
musicalabhishayari · 2 years
Text
Love Shayari
Apni Kasam Kha Kar
Tumblr media
Apni kasam kha kar mujhse hi wo ladti hai,
Ye badi khoobi uski baato mein jhalakti hai,
Use haq hai wo jo chahe kehde,
Ab usi ki saanse mere seene mein dhadkati hai,
Nazre mila kar mere, wo aansu le jati hai sabhi,
Kaha duniya uski ek nigah ko tarasti hai,
Dukh, dard, judai, gham ki dhoop se hum waqif nahi ‘Musical Abhi’,
Uske pyar ki khoobsurat ghata hum par barasti hai.
Visit Website >>>>>>>>> Musical Abhi
Wo Kaha Se
Wo kaha se sikhe hai baate banani Musical Abhi, Unki to har baat mein baat hai.
Mashoor Hai Wo Apni
Mashoor hai wo apni adaon ke liye,
Jaan zokhim mein dalkar uska deedar main karunga,
Gulab ki tareef akhir logo ne kyu band ki hai,
Baat karte waqt uske honton pe gaur main karunga,
Chand bhi shikayat roz khuda se yun hi na karta hoga,
Be-daag khoobsurati ko salam baar-baar main karunga,
Marte mar jau to mar jau, to phir mar hi jau,
Marte mar jau to mar jau, to phir mar hi jau,
Par uski kahi har baat pe aitbaar main karunga,
Wo pak dil wali masoom si pari hai Musical Abhi,
Chahe wo kare na kare,
Chahe wo kare na kare,
Main karta hu, usse pyar main karunga.
Kuch Der Ki Roshini
Tumblr media
Kuch der ki roshini aur wohi shaam,
Saare yaar aayenge phir wohi kaam,
Kashmakash mein zindagi hai lekin kash pe kash barabar ‘Musical Abhi’,
Phir botal khul jayegi apni-apni wali ke naam.
Visit Website >>>>>>>>> Musical Abhi
Uske Kangan Ki Awaz
Tumblr media
Uske kangan ki awaz ab bhi mere kano mein aati hai,
Wo aati nahi pass mere meri sharartein pata hai use,
Par tarkeebe main janta hu sari wo bas bahano mein aati hai,
Ki dur reh kar bhi roz ka aana jana rehta hai,
Thakti nahi hai aane mein wo khayalo mein aati hai,
Aur badi mushkil se main kisi ka ehsaan leta hu,
Zariya hawa ka hai (kaise) wajah main deta hu,
Usse maloom hai meri saansein pass uske hai,
Bhejti hai wo jo saansein wo hawao mein aati hai,
Bewakoof hai jo puchte hai mujhse uska naam,
Mere labzo ko to suno samjho wo meri baato mein aati hai.
Kyu Theher Jati Hai Nazar
Tumblr media
Kyu Theher jati hai nazar tum pe,
Aakhir tum mere lagte kya ho?
Kyu sirf tumhari talab,
Aakhir tum mere lagte kya ho?
Kyu ek hi shakhs ko hum zamana maan baithe,
Ye dil ko kya pareshani hai,
Aakhir tum mere lagte kya ho?
Tera gussa, teri berukhi, teri narazgi ek baar ko chalo seh bhi le,
Par teri nazarandzi se hum mar kyu jate hai,
Aakhir tum mere lagte kya ho,
Aur ye zakhm bhi hume har khazane se ajeez rahega Musical Abhi,
Heer- ranjhe se puch rahi hai,
Akhir tum mere lagte kya ho?
Barish Ye Bekar Lage
Tumblr media
Barish ye bekar lage,
Jazbato mein aag lage,
Be-matlab ki h saari baate,
Ishq_viskq mein aag lage,
Jhoole-wule tum hi jhoolo,
Hum kyu jhoole aise jhoole,
Jin jhoolo pe yaar na ho to,
Un jhoolo mein aag lage,
Dil se shayari likhne do,
Mujhe na roko kaam bahut hai,
Raat-raat bhar jagta hu yun,
Maut ke baad aaram bhut hai,
Abhi waqt bana raha hu,
Waqt hi mujhe banayega,
Jinki nazro mein hu chota,
Ye waqt hi unhe dikhayega,
Jo chohd gaya hai shakhs mujhe,
Tu laut ke ek din aayega,
Tujhe fikar nahi hai ab meri,
Teri befikri mein aag lage,
Barish ye bekaar lage,
Khamakha jazbato mein aag lage.
Visit Website >>>>>>>>> Musical Abhi
Faqat Mohabbat Mein
Faqat mohabbat mein hi hota hai ye haq ‘Musical Abhi’,
Wo uske ghar mein bhi lagti hai Amanat meri,
Uspe mohabbat ka lamha-lamha saja diya maine,
Khuda kehta hai lajawab hai sajawat meri,
Ab aaine ki gulami khatam hui yaaro,
Uski Aankho se kya saaf nazar aati hai banawat meri.
Ab Teri Hifazat
Ab teri hifazat main kaunga,
Jo tera nahi,
Usse khilafat main karunga,
Aa zara tu mujh gareeb ki basti mein ‘Abhishek’,
Ameero se zyada,
Sajawat main karunga,
Sir jhuka dunga,
Jo chahe saza dena,
Daag ye laga ki,
Tujhse bagawaat main karunga.
Must Read
Pyar Wali Shayari — Top 10 Pyar Wali Shayari Love
Sad shayari for boys l Sad shayari for girls
Dard bhari bewafa shayari
Killer attitude shayari in hindi
Alone Shayari
4 line heart touching shayari in hindi
Very sad 2 line shayari
Cute love shayari
True love shayari
Anniversary shayari in hindi
Janamdin ki shayari
3 notes · View notes