Tumgik
#shayaranasafar
shayaranasafar · 2 months
Text
<Ghazal>:
Aaj bhii shahar kii galiyon mein uska intizaar hai, aaj bhii mohabbat usse be-shumaar hai.
Pahle ye shahar itna sunsaan to naa lagta tha,  uske jaane se jaise dil-e-pur-iztiraar* hai.
( dil-e-pur-iztiraar* = heart full of restlessness )
Ye shahar bhii pukaarta hai us dil-e-maashuuq* ko,  ruuh bhi jaise uskii bevafaaii se naa-chaar* hai.
( dil-e-maashuuq* = heart of beloved; naa-chaar* = helpless )
Ranj-e-Furkat* se ‘aks’, dil khafaa to hai,  par aaj bhii mohabbat par aitbaar hai.
( Ranj-e-Furkat* = Sorrow of separation )
© Aks Akshita Aks 
8 notes · View notes
shayaranasafar · 2 months
Text
<Ghazal>:
Mukhtalif* hai avaam duniya-jahaan mein, par ek hai sab Khuda ke aashiyaan* mein.
( Mukhtalif* = diverse; aashiyaan* = shelter )
Khuda ab khuda naa raha, vaqt Khuda ho gaya, umiid-e-rahmat* naa rahii, vaqt ke zindaan* mein.
( umiid-e-rahmat* = hope for mercy; zindaan* = cage )
Nanhii jaan ko Khuda ka ruup kahte hain sab, phir kyun der hai naadaan parindon* ke amaan* mein.
( naadaan parindon* = children (here); amaan* = protection )
© Aks Akshita Aks
7 notes · View notes
shayaranasafar · 2 months
Text
<Ghazal>:
Aaj dil bhii naam-e-ishq se dar gaya, shikast-e-ishq se be-maut hii mar gaya.
Sukuun hii naa raha ikhlaas-o-mohabbat* mein, aaj dil bhii zakhm-e-hijr* se bhar gaya.
( ikhlaas-o-mohabbat*= affection and love; zakhm-e-hijr* = wound of separtion )
Kyon nuur naa raha aaj bazm* mein, nuur-e-nazar* aaj kyon ghar gaya.
( bazm* = gathering; nuur-e-nazar* = a dear one )
‘Aks’, ab ye dil kisse karega guftuguu, jisse karni thi wahii khaamosh kar gaya.
© Aks Akshita Aks
9 notes · View notes
shayaranasafar · 2 months
Text
<Ghazal>:
Gulaabon ke mausam mein zikr uskii mohabbat kaa hai, ye nuur, ye husn-e-adaa*, uskii nazaakat kaa hai.
( husn-e-adaa* = grace of expression ) . Duub jaate hain uskii baaton ko sunte-sunte kuch yuun, miltaa hai wo sukuun-e-ruuh*, uskii rifaaqat* kaa hai.
( sukuun-e-ruuh* = peace of soul; rifaaqat* = companionship ) . 'Aks', kya ise hii kahte hain ishq jo mita deta hai gam-e-dard*, milta jo behisaab sukuun, uskii aqiidat* kaa hai.
( gam-e-dard* = grief of pain; aqiidat* = attachment )
© Aks Akshita Aks
7 notes · View notes
shayaranasafar · 4 months
Text
Tumblr media
Stay tuned for more sher (or urdu quotes) of this ghazal.
© Aks Akshita Aks
8 notes · View notes
shayaranasafar · 25 days
Text
Darr ke bina jeena, mujhe bhi sikha do, bhatak gaya huun manzil se, wo raah mujhe bhi dikha do. © Aks Akshita Aks
4 notes · View notes
shayaranasafar · 3 months
Text
<Ghazal> :
Jismanii mohabbat mein duuriyaan hoti hai,
ruhaanii ulfat mein nazdiikiyaan hoti hai.
Prem kii baadha aksar samaaj hota hai,
jis samaaj mein sakhtiyaan hoti hai.
Duniya mein mohabbat bhii ik kala hai,
jiskii shuruuaat yaariyaan hoti hai.
Khel yah nasiib kaa kuchh aisaa hai,
aksar pyaar kii hii kurbaaniyaan hoti hai.
Bandishein prem mein sirf barbaadii laatii hai,
mohabbat mein to aazaadiyaan hoti hai.
Dil ko sukuun milta hai 'aks', prem mein,
do dilon ke biich gar¹, naadaaniyaan hoti hai.
( 1. gar = if )
© Aks Akshita Aks
5 notes · View notes
shayaranasafar · 3 months
Text
< Azaad Nazm > :
Garm chaai ki pyaali, aur sard fazaaen¹,
shaam aur ham, apne dil ko lubhaaen.
(1. fazaaen = weather)
Log samjhte hai, shaam ko be-aavaaz,
Khamoshi se sune, shaam ki sadaaen².
(2. sadaaen = voices)
Pucha maine shaam se uski tanhai ka,
shaam ne kahaa, yahi hai meri adaaen.
Havaaon ka rukh shaam ka haal batati,
kabhi sard, bahaar, toh kabhi khizaaen³.
(3. khizaaen = autumn)
© Aks Akshita Aks
3 notes · View notes
shayaranasafar · 19 days
Text
Kuch savaal khamosh logon se —
Mere desh mein aaj itna bavaal kyon hai, logon ke haq kii ladaai par savaal kyon hai. Aankhon par pahraa lagaaye hain kuch log, desh se zyada apne dharm kaa khayaal kyon hai. Jaltaa hua manipur aur kashmir kuch puuchta hai, gar ham hain desh kaa hissa, to yahaan vabaal* kyon hai.
( gar* = if; vabaal* = ruin ) Gar raashtravaadi maanti hai sarkaar khud ko, phir desh kaa sanvidhaan muhaal* kyon hai.
( muhaal* = danger ) Janm ke baad, duusra ghar hai hamara hindostaan, apne ghar kii arth-vyvastha kaa bura haal kyon hai. Jaago mere desh vaasiyon, desh pukaar rahaa hai, socho, ektaa desh kii dhaal kyon hai.
© Aks Akshita Aks
4 notes · View notes
shayaranasafar · 29 days
Text
<Ghazal>: Eid-ul-Fitr
Ae Khuda, ye dard-e-dil kii kya davaa hai, ye vaqt kaa hai hisaab ya terii razaa hai. Kabhi nuur barsaata hai, deta hai kabhi dard, kya aakhir mein koi be-khabar jazaa* hai.
( jazaa* = reward ) Iss dhadakte dil kii hai pahchaan kya, ruuh mein jo hota mahsuus, kya rubaa* hai.
( rubaa* = God ) Kya rumi se ghalib kii mahfiloñ tak, sabhi afraad* kii ghazaloñ mein shifaa hai.
( afraad* = people (here refers to writers) ) Kahaañ milega Khuda, jholii bhar sukuun, muqaddar ke intizaar mein bas yahii duaa hai. Lagta hai koi hamraaz dil ke kariib, dil ke atraaf* jaise phuul khilaa hai.
( atraaf* = around ) Guftuguu shuru hui Khuda se iss Ramzaan, bana de use Eid merii, yahii ik razaa hai. Mila de unn do ruuh ko shab-e-vasl* mein, jaise puure chaand ki raat, do dil safaa* hai.
( shab-e-vasl* = night of meeting; safaa* = pure ) Har tariike se karte hai ibaadat Khuda kii, sawaal hai jahaañ se, kya yahii merii khataa hai. Judti hu Khuda se, apnii ruuh ke zariye, soch ko qubuul karne mein kya koi maraa hai. Kyon insaan, insaan ko chota dikhaata hai, kya wo maanta khud ko Khuda se badaa hai. Iss Eid-ul-Fitr kuch sawaal hai, ae Khuda, kar de ‘aks’ ki muraad puurii, bas yahi duaa hai.
© Aks Akshita Aks
Chaand Mubaarak... Eid-ul-Fitr Mubaarak... 🌙
5 notes · View notes
shayaranasafar · 30 days
Text
<Rubaai>:
Ham ghar chor dein, soch rahe hain, yuun umiid tod dein, soch rahe hain, phañs gaye zindagii ke bhañvar mein, tuute sapnoñ ko jod dein, soch rahe hain.
© Aks Akshita Aks
2 notes · View notes
shayaranasafar · 1 month
Text
<Ghazal>:
Zindagii ke lamhon mein likhnaa bhuul gaye, kuch gamon ke biich ab jeenaa bhuul gaye.
Kuch palon kii guftuguu mein ham, ek-duusre se khafa honaa bhuul gaye.
Shikaayatein to bahut hai tujhse ae zindagii, lekin tujhse naaraaz honaa bhuul gaye.
© Aks Akshita Aks
4 notes · View notes
shayaranasafar · 1 month
Text
Tumko bhula dein wo dil kahaan se laayein, kisi aur ko basa lein wo jigar kahaan se laayein, uff bhi naa nikle aur jaan chali jaaye, tum hi bata do dost wo zahr kahaan se laayein.
© Aks Akshita Aks
4 notes · View notes
shayaranasafar · 1 month
Text
Kuch baatein adhuurii rah gayi, kuch yaadein puraanii rah gayi, Zindagii bhi yuun hamaari, kisson kii gullak banii rah gayi.
© Aks Akshita Aks
4 notes · View notes
shayaranasafar · 1 month
Text
<Ghazal>:
Kuch raatein bhaarii hoti hai, kuch yaadein pyaarii hoti hai.
Kabhi intizaar mein uske, raatein guzaarii hoti hai.
Zindagii ke khel mein, ruuh ne baazii haarii hoti hai.
© Aks Akshita Aks
4 notes · View notes
shayaranasafar · 1 month
Text
<Sher>:
Yuun rahe kuch ishq ke falsafe* aise,
unhe takliif dekar ham khud se khafa ho gaye.
( falsafe* = experiences )
© Aks Akshita Aks
2 notes · View notes