Tumgik
#dikhai
bhabhisworld · 8 months
Text
17 notes · View notes
hissterical-nyaan · 2 years
Text
@maraudersbitchesassemble IS SO PRETTY Y'ALL I'M LUCKY
4 notes · View notes
pinkcolorangel · 5 months
Text
0 notes
hergardensweets · 5 months
Text
Thik hai shuru ab
0 notes
mmwiddc · 4 months
Text
Ghar...
(poora padhna yaar warna bilkul mat padhna)
.
Purane Lucknow ke chawk se phle chaupatiya hote hue dubagga wali sadak par jaana 
Uspar kuch dur chlne par baye haanth par ek sadak mudti hai uske saath mud jaana 
Kuch dur chalne par teesri gali me 
Chautha makan milega 
Khaali pada makaan 
Us makaan ke bahar ek bujurg 13 saalon se 
Phool bechrhe hain 
Usse 2 dhai saal phle se wo makaan kaali pada hai 
Beetey kuch saalon ke sawan ne us makaan ka rang dhul diye hai
Ab koi us makaan ko dekhta hai toh usko sirf wo budhi deewaren Nazar aati hain 
Samne hi neem ki lakdi se bana ek darwaza hai 
Jiska deemak aaj tk kuch naa bigaad paayi hai 
Uspar kareegar ne kya khoob nakkashi ki hai 
Us darwaze pr bada saa taala laga hua hai
Us taale ki chabhi wo bujurg apne gale me kisi taavez ki tarah taang kar rakhte hain 
Har Diwali aur Eid ko us ghar ka darwaza khol kr usme diye jala dete hain aur namaz padh lete hain 
Mere bahot kehne par mujhe us ghar ki chaabi dehi di unhone
Maine tala kholkr jb darwaze ko dhakka mara toh 
Esa laga waqt ruk sa gaya hai
Fir maine phla kadam rakkha us ghar ke andar 
Phla kadam rakhte hi esa laga maano waqt me peeche jaarha hun 
Itne peeche ke Jahan se wapas aana shayad mumkin nhi 
Wo darwaza ek patle se galeeche me khulta hai 
Main aage badha toh maine bheeni si mitti ki khushboo mehsus ki 
Diwaron pr seelan lagi hui thi 
Wo seelan un deewaron ki umr bakhoobi bayan kar rhi thi 
Thoda saa andar chala toh wo galeecha aangan me khul Raha tha 
Ek aangan jiske chaaron taraf keyaari bani Hui thi 
Aur usme Lage hue they alag alag paudhe 
Unme se ek thaa gulab jiski ek Kali bas chatki hi thi 
Main us Kali ko dekh kar soch me pad Gaya yeh sab jinda kaise hain 
Maine us Kali ko aankh bharke dekha 
Par jaise hi nazar hati seedha Jaa padi aangan ke beechon beech lage Tulsi ke ped par 
Maine haanth jode aur aandar ki taraf chaldiya 
Samne hi tha baramda jaise hi maine baramde me kadam rakha meri nazar padi baye taraf lagi kuch tasveeron par 
Un tasveeron me ek chota baccha dikhrha tha jo us Tulsi ke aas paas khelraha tha 
Kuch bujurg the jo shayad ab is duniya me nhi honge 
Aur ek tasveer me kursi par baithe they us makan ke Malik aur unki khawateen unke dahine taraf chai ka cup pakde hue khadi thi 
Meri nazar jaise hi un tasveeron par se hati seedha us kursi par Jaa padi 
Jo tasveer me thi 
Gerua rang se rangi Hui saafed plastic se buni hui kursi 
Maine Bina kuch soche samjhe jeb se rumaal nikala aur us kursi ko saaf karne laga 
Aur saaf karke baithgaya 
Baith kar maine aakhen baad ki toh us seelan ke beech se jagah banati thodi us Kali ki aur thodi Tulsi ki khushboo mujhme samane lagi 
Main aakhen band karke sochne laga ke ye makaan abhi bhi jinda hai 
Sochte sochte mere Dil me yeh bhi khayal aane laga chlo andar chlete hain
Main us kursi par se uth khada hua
Maine apne kadkon ko andar ki taraf badhaya toh aamne samne 2 kamre dikhai pade 
Unme se ek pr tala laga tha 
Apni shirt ki aasteen se maine us kamre ki khidki ka sheesha saaf Kiya aur andar dekha toh samne ek bed tha jiske upar bistar laga hua tha jo thoda astwyast tha 
Maano wo aakhir baar istemal kiya ho aur fir sahi naa kiya Gaya ho 
Us bistar ke bagal me ek table thi jispar kuch kitaben bikhri Hui thi aur un kitaabon ke paas ek chashma rakha hua tha waqt ke saath jiska kaanch peela padgya tha 
Bistar ke dusri taraf ek palna tha lakdi ka bana hua 
Ek taraf deewar pr almaari thi jisme kuch saman rakha hua tha kuch kitaabein thi kuch tasveerein thi 
Maine peeche mud kar dusre kamre ka darwaza khola toh usme lakdi ka sofa pada hua tha bilkul us buni hui kursi ki tarah uske samne ek lakdi aur kaanch se bani Hui table padi thi us table ke upar ek guldasta rakha hua tha aur uske bagal me thi ek ashtray jisme ek aadhi bujhi Hui cigerette thi 
Sofe ke ekdam peeche thi almari 
Jisme bahot saari trophiyan rakhi Hui thi 
Kuch tasveeron ke saath 
Maine kamre se bahar nikla aur seedha bahar chala gaya 
Jaakar tala daala, chabhi wapas dedi 
Aur seedha aapne ghar aagya 
Main ghar toh aagya lekin wo khusboo mujhme rehgayi 
Wo makan mujhme rehgaya 
Maine shayad jindagi me dusri baar waqt ko rukte hue dekha tha 
Us makan ka sukoon mujhme ghar kargaya 
Pata hai maine phli baar waqt ko rukte hue kab dekha tha?
Jis din college ka phla din tha aur main jaise hi class ke andar ghusa tha meri Nazar seedha tumpar padi thi 
Us makaan ko main ghar hi kahun toh accha kyonki wo ghar tum ho
Uski khushboo tumhari khusboo hai 
Uski seelan lagi deewaron ko main khud apne haanthon se sajana chahata hun 
Tumhe andaza bhi hai kitni khoobsurat ho tum
Un tasveeron me tumne qaid karrkha hai ek choti si bacchi ko jo kabhi kabhi bahar aati hai
Kuch bujurgon ko jo badi badi baatein kar jaati hai
Aur shayad mujhe bhi
Maine tumme jeena chahata hun 
Us gulab ke paudhe ki tarah us Tulsi ki tarah tumhe mehkana chahata 
Wo waqt se purani meri mohabbat tumhari hifazat karti hai 
Har Roz tumhare dar pe aakar sajda kartib
Ise esa karne ki ijazat dogi kya??
Mujhe khudme jeene ki ijazat dogi kya??
~ Sehr
56 notes · View notes
sanelyinsanemiss · 2 months
Text
"Kahan se laun wo lafz jo tujhe sunayi dein, Dunia dekhe Chand ko mujhe sirf tu dikhai de"
-Gulzar Ahmed
19 notes · View notes
hehehuhuhihi · 1 month
Text
jab kisi bhi vastu ko jyada dekhte rehte hai toh usme jo kamiya hai wo dheere dheere dikhai dene lagti hai, try kroo kisi sundar vyakti pe? Thodi der baad uski aek aankh bdi dikhegi, white hairs and alll!
Vaise hi I think hum sab ajib hai?kyuki hum 24 /7 apne sath bitate hai toh hume hmari kamiyan dikhayi dene lagti hai.
Sab ajeeb hai - meri maa abhi aabhi mujhe gyaan deke gayi 🧛‍♀️
9 notes · View notes
ayy-esha · 8 months
Text
Main agli baar milungi muqam'e hairat par,
Abhi dekh lo jitna dikhai deti hoon!!
22 notes · View notes
g0j0s · 8 months
Note
itni khubsurati aur itni nazakat, kaise sameta hua hai sab kuch tumne
ye tumhara pyaar jiski badaulat tumhe meri har cheez mein khoobsoorati dikhai deti hai. jab ki ye tumhari ankhon mein basi mere liye ye mohabbat hai jo meri har cheez ko tumhare nazariye mein haseen bana deti hai 💗🫂
14 notes · View notes
anarkali-disco-chali · 6 months
Note
Hello ji, bade dino baad dikhai diye
kaash dikhai he ni deti
7 notes · View notes
myladytara · 3 months
Text
It's Poetic
When I see you from afar.
it's poetic.
When I see you but you're not looking
it's poetic.
When you see me from the corner of your eye.
it's poetic.
We both know it all,
And we both love it
But we choose silence,
Yet still, it remains poetic.
©Sadaf Ahmed
Eyes tell us everything. And your eyes. God I wished people could see those like me. I loved through those eyes that haunted me nights giving butterflies and making me think girl this guy! Yeah! This guy...
Dilkashi to bohot thi aapse, Ishq bhi thi aapse mohabbat kaab se ho gayi malum nehi . lekin aapko shayed Kabhi mohabbat hua hi nehi.
Kaisa naseeb hae yeh meri milke Bhai na mukhe mili. Dur bhagti hui meri in aankhon se aapko Kabhi mohabbat dikhai nehi di.
4 notes · View notes
Text
Tumblr media
*Kalpana Bhabhi Ne Kya Kamal Ki Baat Ki Hai, Sun Kar Sabhi Janta Ka Dil Baag Baag Ho Gaya Waah Waah Re Kalpana Bhabhi Ji Gajab Ka Jalwa Dikhai Hai So Sweet*
😂😀😂
_*Yehi Ke Kahal Jala Kaho Bhai Ji Gath Bandhan Ke Sarkar*_
2 notes · View notes
uroldhomie · 9 months
Text
I think i am just writing this from a new presepective you often heard about the term
"Pyar me andha hojana"
We often consider or relate this with a bad vibe. But i guess it has a beautiful side to it. It should mean that jab insan muhabbat me hota hai naw koi dosra or shaqas dikhai nahi deta. I would never believe the idea of falling in love with 2 persons at the same time . I highly believe in the thing jab ap kisi sy muhabbat karen to apki ankhen us muhabbat ki amanat hain unhen dosro k liye andha hi hona chahe.
8 notes · View notes
tumkokyubataye · 2 months
Text
I think i am just writing this from a new presepective you often heard about the term,
"Pyar me andha hojana"
We often consider or relate this with a bad vibe. But i guess it has a beautiful side to it. It should mean that jab insan muhabbat me hota hai na koi dusra aur shaqs dikhai nahi deta. I would never believe the idea of falling in love with 2 persons at the same time. I highly believe in the thing jab ap kisi sy muhabbat karein to apki ankhein us muhabbat ki amanat hain unhein dusro k liye andha hi hona chahiye.
6 notes · View notes
anonymouse-is-here · 2 months
Note
You and hsnaayar are mutuals right? See his pinned message...
Haan par mujhe uska blog dikhai hi nahi de raha:/
boards the aur main tumblr pe memes mein khoi rehti hoon toh idek what happened
4 notes · View notes
eugenephosgene · 7 months
Text
Sara nahi dikhai 👀
4 notes · View notes