Itna aziiz bhi naa rakhiye hume ke hum bigadjayen
Itna dur bhi naa kijiye ke hum zindagi se darjayen
Yeh badalte Mausam agar kisiki jindagi me aayen
Toh phle uski dheere dheere Marne ki aadat dalwai jaaye
Agar kisi ki kismat me khuda mohabbat likhe aur
Kisiki justjue kare koi toh usko paana mukammal karaya jaye
Humara kya hum toh musafir hain isbahane duniya hi dekh aaye
Woh baat alag hai ek baar is duniya ki aadat hone ke baad yeh safar katai raas naa aaye
Aur kitni Umar aap hi bataen danai mein jee jaye
Hum sochte Hain bas bahot hua ab pagal hojayen
Hamari kya baat kijiye humto hazaon laakhon me aate hain
Humari jindagi mein Jo aate hain woh chand banjaate hain
Yun toh log aakar humari jindagi me tehrte nhi
Koi tehrne ki koshish kare toh hum us chand par laga daag kehlate hain
Aadat se majboor hain hum sabko bahot satate hain
Khwab kab mukammal hote hain khwabon mein bhi hum khudko tanha hi pate hain
Humari naa baat kijiye hum toh hazaon laakhon mein aate hain
Jab jab thokar khaate hain khudko yahi samjhate hain
Apni haqiqat jaankar bhi chaand chune nikal jaate hain
Aajfir khudko yaad dilate hain hum chaand chune ki koshish karen toh uspar laga daag kehlate hain
Tumhari zindagi mein
Jab Tumhari zindagi mein saari fizayein tumhare saath hon
Jab phoolon ke bistar pr tumhari subha ho aur taaron ki chadar taley raat ho
Jab phool tumhari khusboo se mahekne lage
Jab chand tumhare chhat pe aane ki raha takey
Jab tum kisi darakht ki chav mein jao tumpar phoolon ki barsaat ho
Jab tumhare bheegi zulfen jhatakne se sawan ki shuruwat ho
Jab Saari duniya ki baaton ke upar tumhari baat ho
Jab tumhare isharon par waqt chale aur waqt ke paas tumhare saath bitane ko lamhat ho
Jab Tumhe yeh duniya haseen lagne lage
Jab Tum raaton mein jaago toh yeh duniya jagne lage
Tum meri zindagi mein wapas mat aana
Tum jaise mere saath they waise mat banjana
Maine bahot duaein maangi hain tumhari khushiyon ke khaatri
Tumhari zindagi mein saari fizayein tumhare saath ho
Tum jis Raha chalo tumpar phoolon ki barsaat ho...
Har raat der se ghar aata hun
Apne kamre mein khayalon saa andhera banata hun
Kuch diwaron ki sunta hun kuch apni sunata hun
Baat manki naa ho toh chup lagata hun
Bistar ke sirhane par khwab bahakar
Sir se itna bojh hatata hun
Fir khuda ko yaad karta hun
Khuda se rehem ki guhaar lagata hun
Apne khayalon mein besud saa hokar
Main chand ko khudse milne bulata hun
Use dekh kar khudko bahot rokta hun
Firbhi use chune chalajata hun
Magar yeh khwaab hai haqiqat nhi
woh gayab hota hai tb samajh pata hun
Ek koshish mein Kahan harta hun
Dobara koshish karta hun dimag pr aur zor lagata hun
Tab uski hasi meri kaanon mein gunzti hai
Main dil par haanth rakhkar use samjhata hun
Thoda waqt lagta hai dhadkan sambhalne mein
Utni der mein saanson pr kaabu pata hun
Us chand ki ek jhalak ke khatir
Sehr se phle har haal mein Sojata hun
main Roz raatme gharpe aakar
Har raat Ghar ki talash mein nikal jaata hun
Kitaab likh !! Kitaab likho !! Kitaab likhiye !! Yaar ab kitaab likh bhi dijiye sehr ji !!!! Ab aur kitni baar yahi ask bheje hum 😭❤️🩹 ????? Ehteram ki inteha ho gai hai 😒
Har us shaqs ke liye jo mohabbat ko ibadat Manta hai
Aur mohabbat ese karta hai jaise ibadat karrha ho
Hum dua karte hain
Ay khuda marham-e-dil ki jinhe jarurat ho
Unko mere hisse ka bhi mukammal karaya jaye
Ek akhir dua meri dil se nikle aur woh yeh
Agar Koi mohabbat me mere naqsh-e-pa pe chale
Toh uski mohabbat mukamal hojaye