Tumgik
#maine kaha bhabhiji ghar par hai
Text
socha tha raat bhar padhungi,
subah hone aayi aur abhi bhi mera eating and shitting program hi chal rha hai
27 notes · View notes
tellytantra · 5 years
Quote
Prologue "Naina, tu sure hai you want this?" "Haan Preeti. Maana ki kabhi hum pyaar karte the ek dusre se but Shayad, shayad woh pyaar kahin kho Gaya yaar. Ab hum ek dusre ke upar sirf aur sirf bojh hai. Aur rishte jab bojh ban jaayein, toh rishte lauta dene chahiye." ****** "Sameer Yaar! Tu reh paayega uske bagair?" "Uske saath toh nahi reh Paa Raha, shayad uske bagair hi jee paaun. Saath reh ke hum dono sirf ek dusre Ko dukh hi de sakte hain, aur kuch nahi. Toh alag ho jaane mein hi humari bhalai hai Munna." ****** Two people, who were once madly in love, perfectly made for each other. Will they be able to life separately? Does with time love fades away?  Here's a journey of two individuals who thought it's better to separate than to live hating each other.  Here's a journey of every couple who, once madly in love fall apart. Will they be able to fall back? Writer: Octothorpe Shot 1 "Beta, aise rishta todne se kya hoga? Naina, hum aurton Ko sirf rishte jod ke rakhne ka haq hai. Aise alag hoke samaaj Ko kya muh dikhaogi?" "Chachiji, samaaj toh chaar din baat karega phir apni zindagi mein sab busy ho jaayenge. Uss ghutan Bhari zindagi mein toh mujhe Rehna padega na." "Lekin Naina, Sameer se tum toh pyaar Karti thi." "Chachaji, aapne Sahi kaha, main Sameer se pyaar Karti THI. Par aapne hi sikhaya hai na, iss duniya mein jeene ke liye pyaar se zyda izzat ki zaroorat Hoti hai." "Dekh Bhai Naina, divorce wagerh se humein Koi matlab nahi. Agar Sameer se tu alag hui, toh iss ghar ke bhi darwaze tere liye bilkul band." "Papa...." "Aur nahi toh kya? Rakesh Babu bilkul Sahi keh rahe. Tujh manhoos Ko hum Apne ghar toh nahi rakhne wale." "Bhabhiji, ye aap kya keh Rahi hain?" "Aap beech mein mat boliye Anand Babu. Aap ne hi iss ladki Ko sar pe chadhya hai. Uss ka hi nateeja hai ye sab. Pehle to Prem Vivah kiya aur ab alag bhi hona chahti hai. Samaaj mein humari koi izzat hai ki nahi." ****** "Dekh Sonu Beta. Tune Love Marriage Kiya, humnein kuch bola? Nahi bola. Ab tu divorce Lena chah Raha toh tujhe rokna Mera farz hai. Kaku Sa hote toh tu ye karta? Nahi karta." "Shayad tab ye naubat hi nahi aati Mamaji." "Abhi bhi sab theek ho Sakta hai Sonu Beta." "Kya theek ho Sakta hai Mamiji? Kya mere aur Naina ke beech ka khoya hua pyaar Laut Sakta hai?" "Bhaiya, Pyaar toh phir ho jaata hai." "Bhabhi, pyaar dobara tabhi hota hai jab ek dusre ke liye izzat Bani rahe." "Ye sab bas kehne ki baatein hai Sonu Beta." "Mujhe bhi yahi lagta tha Mamaji." "Hum Vishakha Ben Ko kya bolenge. Hum Sonu Beta ka ghar bhi nahi bacha paaye." "Aur Kaku Sa Ko main kya bolunga? Bappa Sitaram, main khayal nahi rakh pata Sonu Beta ka " "Mamaji, kismat mein jiske jo likha hota hai, uske saath sirf utna hi hota hai. Meri zindagi mein shayad Humsafar nahi likha tha. It's okay." ****** "Yaar! Ye dono bilkul pagal ho gaye hain. Aise Kaun rishta khatam karta hai. Apne families se lad ke dono nein shaadi ki thi. Woh sab pyaar vyaar kuch nahi?" "Kamya yaar! Mujhe toh samjh nahi aa Raha Naina Ko kya hua hai. Un dono mein at least woh toh samjhdaari dikha Sakti thi na." "Uski bhi kya galti hai Ponga, Sameer bhi toh yahi chahta hai." "Par yaar! Dono alag hoke reh paayenge?" "Swati, saath bhi nahi reh paa rahe." "Par Hema, iska maltab ye toh nahi ki dono Divorce le Lein?" "Mujhe pata hai Kamya lekin..." "Kisiki Preeti se baat Hui?" "Nahi Pandit. Maine call Kiya tha." "Swati, tumne Naina ko samjhane ki koshish ki?" "Main kya samjhungi?" ****** "Naina, tum theek ho?" "Haan Preeti. Main theek hoon." "Toh phir ro Kyun Rahi ho?" "Dil toot ta hai toh Rona toh aa hi jaata hai." "Toh phir mat Todo na apna Dil aur hum sab ka bhi." "I wish. Jab woh Insaan jisse aapne duniya mein Sabse zyda pyaar Kiya tha, ja woh aapke zakhmon Ko kuredta hai na Preeti, toh takleef itni Hoti hai ki shabdon mein main bayaan bhi nahi kar Sakti." "Naina...." ****** "Sameer, tu divorce Kyun Lena chahta hai?" "Mummy, mujhe iss baare mein bilkul bhi baat nahi karni." "Sameer, main tumhari Maa hoon. Mujhe toh tum bata sakte ho na." "Kaash Mummy, Kaash aapko ye baat pehle yaad aa jaati. Shayad main zindagi ke iss rasste pe kabhi khada ho nahi hota." "Sameer tu aise..." "Bye." ****** "Mr. Maheshwari, kal se aapke divorce proceedings start ho jaayenge. Aap please time pe court aa jaiyega" "Ji Mr. Dholakia. Main time pe aa jaunga." ****** "Mrs. Maheshwari, kal se aapki divorce proceedings start ho jaayengi toh aap court aa jaiyega." "Hmm. I'll be there on time Miss Parekh." ****** "What do you think Sunaina? Ye dono alag hona bhi chahte hain?" "I don't think so." "Hmm. Let's see." "Yes, let's see."
http://jodifiction.blogspot.com/2019/06/samaina-ts-humsafar-yeh-un-dino-ki-baat.html
0 notes