Tumgik
yasarimel · 3 months
Text
#dream about book of rooth
Date dream 21 january 2024 ki beti raat.. Takriban 2.30 waze ke baat.. . Main sua… main kya dekhta huj…. Humare ghar men e fauji hain. Or wuh. Apne telephone ke dwara comandar ji jung ladwa rahenn hain.. Jung lgi hui khalra mandi men…or ho kya raha jab teen bhari shanti bolte indian army bande marte jaten… Nd phir.. comandar jo humare ghar men fuju sikh.. tin jane. Wuh apne sathiyo jo bol raha hai… ki. Ye dusra tarah ka atack thumhen chhup rehha bolna nhi phir tumhari jaan bachhe gi.. Ek baar shanti bolo bus. Nd phir men tumari jaan bachi rahi gi… Nd phir men kya dekhta Humara nanu raghbir singh fuji kuch or family member ..mere sath wale camre men shadi ki tarah bhara hua huta.. To main jb apne camre men jata hun..to khud ekala pata hun.. or jab mere sath wale camre men jata hun.. to kehta ki humara itna bhada pariwar. Tha.. or mujhe to dekh kar ghabrahat huti hai.. Phir kya huta humare ghar men ek mama ranjit ata hai sidiyi charta hun.. Main use pehle ye kehtA hun.. or wuh ajib hi tarike se glas mun se pakrta pani bharta or.. mun ke bal hi glass ke sahare pani pine lgtA hai… Nd phir wuh bnda alag si shakal jaise kan sAfai krne wale.. hute. To wuh kam krne ilawa kuch or bolne lg jata hai ajibo greeb nd.. phir… main use baga deta.. Hun..meri bibi kehti ye kauna tha ajib sa.. Nd phir kya maile ki tarah Khalra se bhikhiwind ko Jahan rahe.. wahan par bauht bhade level ki bandgi pastor nazarth raja ke dekh rekh ki men.. Ek purab se pacham tarf lge zmin par or ek do manzli kile ke jaise kothi bani hui hai.. Nd sangat baith purab ki tarf samna hai.. or pachim ki tarf pith hai.. Or wahan par men zimini stage par ek geet gata hun….jiske lyrics punjabi men samjh nhi ate.. antre men.. nd.. waha par ek ladka akar stage ko lead krne lg jata hai baith kar… Nd phir men dekhta hun stage piche pastor raj cream color ka safari suit pehan kar niche baithe hute hain… Phir men sangti men ek side men ja kar khada ho jata hun… or rooth ki kitaab men hebrew.. men jo ki bauht bhadi kitab hai… Jise km se km 2 admi uths rahen or wuh bauht se hain utni hi jitni khadi hui sangti ki churai or.. Ek kothri ke upar.. jake wuh sari kholi jati hain… Aise hain.. jaise farishte.. Nd dusra uske ek upar ki kothri men paras gill ga rahe os kitaab ko kholne ki izat men.. Or phir wuh samapat krke niche ate hain.. Nd sangati men chalne phir lagten men unmo ignor kr raha nd phir wuh mujhe ek apne atitude men ignoras se hath milate nd maskri si mushkrahat men.. jo janta huta magar phir bhi na janne ki acting krta muskarate hue.. bolta hum ekathe hi hainn..maine tum log bnati or nalki log.. jinke age insaano ki koi value.. Jo kisi bhi insaan ki jaan tumhare age koi value nhi rakhti.. Ye tumara muskrana bhi jutha hai nkli hai.. tum log musibat men chod ke baag jate ho.. Nd mera bus nhi chlta main tumhen jaan se mardo.. Magar tumhen khuda hi jane… Phir kya huta.. paras gill ke liye white gadi hai.. Jo ambolance huti.. Or uspar red color ka plus ka nishan huta hai.. Or paras gill ke baith te hi.. Wuh ambulance men dhara men khun bahne lgta.. Nd wuh ambulance chali jati hai.. Or meri ankh khol jati hai..
0 notes
yasarimel · 4 months
Video
youtube
यदि कोई मसीह में है तो वह नई सृष्टि है Full Sermon
0 notes
yasarimel · 5 months
Video
youtube
विश्वास कैसे काम करता है How Faith Works
0 notes
yasarimel · 5 months
Video
youtube
भले या बुरे के ज्ञान का वृक्ष tree of the knowledge of good and evil
0 notes
yasarimel · 5 months
Video
youtube
यीशु मसीह को दूल्हा क्यों कहते हैं ? Why is Jesus Christ called the groom?
0 notes
yasarimel · 5 months
Text
0 notes
yasarimel · 5 months
Video
youtube
परमेश्वर के पुत्र कौन हैं,जिन्होने मनुष्यों की पुत्रियों से विवाह किए उत...
0 notes
yasarimel · 5 months
Video
youtube
विश्वास क्या है? | What is Faith? | 'विश्वास' पर बाइबिल अध्यन A study on...
0 notes
yasarimel · 5 months
Video
youtube
#आंखों की अभिलाषा lust of the #eyes #ਅੱਖਾਂ ਦੀ ਲਾਲਸਾ #hidni #urdu #punjba...
0 notes
yasarimel · 5 months
Video
youtube
मुसीबत उठाओ गए तो ही जलाल पाओ गए You can get glory only if you face trou...
0 notes
yasarimel · 6 months
Video
youtube
इसलिये तुम जाकर सब जातियों के लोगों को चेला बनाओ
  MARQUS 4
; 35 Usí din jab shám húí, us ne un se kahá; Áo, pár chaleṉ. 36Aur wuh bhíṛ ko chhoṛkar use, jis tarah wuh thá, kishtí par sáth le chale; aur us ke sáth âur bhí kishtíáṉ thíṉ. 37Tab baṛi áṉdhí chalí, aur lahreṉ kishtí par yaháṉ tak lagíṉ, ki kishtí pání se bharí játí thí. 38Aur wuh ḳhud píchhe kí taraf gaddí par sotá thá; pas unhoṉ ne use jagákar kahá; Ai Ustád, kyá tujhe fikr nahíṉ, ki ham halák húe játe haiṉ? 39Us ne uṭhkar hawá ko ḍáṉṭá, aur pání se kahá; Chup rah, tham já: to hawá band ho gayí, aur baṛá amn ho gayá. 40Phir un se kahá; Tum kyúṉ darte ho? Ab tak ímán nahíṉ rakhte? 41Aur wuh niháyat ḍare, aur ápas meṉ kahne lage; Pas yih kaun hai, ki hawá aur pání bhí us ká hukm mánte haiṉ? 35Usí din jab shám húí, us ne un se kahá; Áo, pár chaleṉ. 36Aur wuh bhíṛ ko chhoṛkar use, jis tarah wuh thá, kishtí par sáth le chale; aur us ke sáth âur bhí kishtíáṉ thíṉ. 37Tab baṛi áṉdhí chalí, aur lahreṉ kishtí par yaháṉ tak lagíṉ, ki kishtí pání se bharí játí thí. 38Aur wuh ḳhud píchhe kí taraf gaddí par sotá thá; pas unhoṉ ne use jagákar kahá; Ai Ustád, kyá tujhe fikr nahíṉ, ki ham halák húe játe haiṉ? 39Us ne uṭhkar hawá ko ḍáṉṭá, aur pání se kahá; Chup rah, tham já: to hawá band ho gayí, aur baṛá amn ho gayá. 40Phir un se kahá; Tum kyúṉ darte ho? Ab tak ímán nahíṉ rakhte? 41Aur wuh niháyat ḍare, aur ápas meṉ kahne lage; Pas yih kaun hai, ki hawá aur pání bhí us ká hukm mánte haiṉ?
PEHLI BAAT IMAN KE KAAM BOL KAR HUTE HAIN
2 KURINTHÍOṈ 5
; 17 Is liye agar koí Masíh meṉ hai, to wuh nayá maḳhlúq hai: purání chízeṉ játí rahíṉ; dekho, wuh nayí ho gayíṉ. 
 Romíoṉ 6:6 (URDR55)
Chunáṉchi ham jánte haiṉ, ki hamárí purání insáníyat us ke sáth is liye salíb dí gayí, ki gunáh ká badan bekár ho jáe, táki ham áge ko gunáh kí gulámí meṉ na raheṉ.
  Ifisíoṉ 4:22 (URDR55)
ki tum apne agle chál chalan kí us purání insáníyat ko utár ḍálo,
  ʻIbrá Níoṉ 6:2 (URDR55)
aur baptismoṉ, aur háth rakhne, aur murdoṉ ke jí uṭhne, aur abadí ʻadálat kí taʻlím kí bunyád dobára na dáleṉ.
  KULUSSÍOṈ 2
; 8 Ḳhabardár, koí shaḳhs tum ko us failsúfí aur láhásil fareb se shikár na kar le, jo insánoṉ kí riwáyat aur dunyawí ibtidáí bátoṉ ke muwáfiq haiṉ, na Masíh ke muwáfiq:
  ʻIbrá Níoṉ 6:1 (URDR55)
Pas áo, Masíh kí taʻlím kí ibtidáí báteṉ chhoṛkar kamál kí taraf qadam baṛháeṉ, aur murda kámoṉ se tauba karne, aur Ḳhudá par ímán láne kí,
   2 Kurinthíoṉ 4:13 (URDR55)
Aur chúṉki ham meṉ wuhí ímán kí rúh hai, jis kí bábat likhá hai, ki Maiṉ ímán láyá, aur isí liye bolá; pas ham bhí ímán láe, aur isí liye bolte haiṉ;
     ʻIBRÁ NÍOṈ 11
; 3 Ímán hí se ham maʻlúm karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ; yih nahíṉ, ki jo kuchh nazar átá hai záhirí chízoṉ se baná ho.
  PAIDÁISH 1
1Ḳhudá ne ibtidá meṉ zamín o ásmán ko paidá kiyá.
3Aur Ḳhudá ne kahá, ki Raushní ho já:
 6Aur Ḳhudá ne kahá, ki Pániyoṉ ke darmiyán fazá ho, táki pání pání se judá ho jáe
9Aur Ḳhudá ne kahá, ki Ásmán ke níche ká pání ek jagah jama‘ ho, ki ḳhushkí nazar áe: aur aisá hí húá.
1Aur Ḳhudá ne kahá, ki Zamín ghás, aur bíjdár búṭiyoṉ ko, aur phaldár daraḳhtoṉ ko, jo apní apní jins ke muwáfiq phaleṉ, aur jo zamín par apne áp hí meṉ bíj rakkheṉ, ugáe: aur aisá hí húá. 
14Aur Ḳhudá ne kahá, ki Falak par naiyir hoṉ, ki din ko rát se alag kareṉ; aur wuh nishánoṉ, aur zamánoṉ, aur dinoṉ, aur barasoṉ kí imtiyáz ke liye hoṉ; 
20Aur Ḳhudá ne kahá, ki Pání jándároṉ ko kasrat se paidá kare, aur parande zamín ke úpar fazá meṉ uṛeṉ.
24Aur Ḳhudá ne kahá, ki Zamín jándároṉ ko, un kí jins ke muwáfiq, chaupáye, aur reṉgnewále jándár, aur janglí jánwar, un kí jins ke muwáfiq, paidá kare: aur aisá hí húá. 
26Phir Ḳhudá ne kahá, ki Ham insán ko apní súrat par apní shabíh kí mánind banáeṉ;
LÚQÁ 1
; 26 Chhaṭe mahíne Jibraíl firishta Ḳhudá kí taraf se Galíl ke ek shahr meṉ jis ká nám Násarat thá, ek kuṉwárí ke pás bhejá gayá, 27jis kí maṉgní Dáúd ke gharáne ke ek mard Yúsuf nám se húí thí; aur us kuṉwárí ká nám Maryam thá. 28Aur firishte ne us ke pás andar áke kahá; Salám tujh ko, jis par fazl húá hai! Ḳhudáwand tere sáth hai. 29Wuh is kalám se bahut ghabrá gayí aur sochne lagí, ki yih kaisá salám hai. 30Firishte ne us se kahá; Ai Maryam, ḳhauf na kar, kyúṉki Ḳhudá kí taraf se tujh par fazl húá hai; 31aur dekh, tú hámila hogí aur beṭá janegí; us ká nám Yisúʻ rakhná. 32Wuh buzurg hogá; aur Ḳhudá Taʻálá ká Beṭá kahláegá, aur Ḳhudáwand Ḳhudá us ke báp Dáúd ká taḳht use degá, 33aur wuh Yaʻqúb ke gharáne par abad tak bádsháhí karegá, aur us kí bádsháhí ká áḳhir na hogá. 34Maryam ne firishte se kahá; Yih kyúṉkar hogá, jis hál meṉ ki maiṉ mard ko nahíṉ jántí? 35Aur firishte ne jawáb meṉ us se kahá, ki Rúhuʼl Quds tujh par názil hogá, aur Ḳhudá Taʻálá kí qudrat tujh par sáya ḍálegí, aur is sabab se wuh pákíza jo paidá honewálá hai Ḳhudá ká Beṭá kahláegá. 36Aur dekh, terí rishtadár Ilíshibaʻ ke bhí buṛhápe meṉ beṭá honewálá hai; aur ab us ko, jo báṉjh kahlátí thí, chhaṭá mahína hai. 37Kyúṉki jo qaul Ḳhudá kí taraf se hai, wuh hargiz betásír na hogá. 38Maryam ne kahá; Dekh, maiṉ Ḳhudáwand kí bandí húṉ; mere liye tere qaul ke muwáfiq ho. Phir firishta us ke pás se chalá gayá.
1 Yúhanná 5:4 (URDR55)
Jo koí Ḳhudá se paidá húá hai, wuh dunyá par gálib átá hai; aur wuh galaba, jis se dunyá maglúb húí hai, hamárá ímán hai.
Mukáshafa 3:13 (URDR55)
Jis ke kán hoṉ, wuh sune, ki Rúh kalísiyáoṉ se kyá kahtí hai.
 Romíoṉ 1:17 (URDR55)
Is wáste ki us meṉ Ḳhudá kí rástbází ímán se aur ímán ke liye záhir hotí hai, jaisá likhá hai, ki Rástbáz ímán se jítá rahegá.
Romíoṉ 10:17 (URDR55)
Pas ímán sunne se paidá hotá hai, aur sunná Masíh ke kalám se.
 LUQA 8;18 Pas ḳhabardár raho, ki tum kis tarah sunte ho:
  Amsál 18;15 Hoshyár ká dil ‘ilm hásil kartá hai, Aur dáná ke kán ‘ilm ke tálib haiṉ.
 Marqus kí Injíl 4;24 Phir us ne un se kahá; Ḳhabardár raho, ki kyá sunte ho;
  Yasa‘iyáh 55;3 Kán lagáo, aur mere pás áo; suno, aur tumhárí ján zinda rahegí;
 Yaʻqúb 1:22 Lekin kalám par ʻamal karnewále bano, na mahz sunnewále jo apne áp ko dhoká dete haiṉ.
  Matí kí Injíl 7;24 Pas jo koí merí yih báteṉ suntá, aur un par ʻamal kartá hai, wuh us ʻaqlmand ádmí ki mánind thahregá, jis ne chaṭán par apná ghar banáyá;
Amsál 16:20 Jo kalám par tawajjuh kartá hai bhaláí dekhegá:Aur jis ká tawakkul ḲHUDÁWAND par hai mubárak hai.
YÚHANNÁ 10
; 7 Merí bheṛeṉ merí áwáz suntí haiṉ,
YÚHANNÁ 10
; . 11 Achchhá charwáhá maiṉ húṉ: achchhá charwáhá bheṛoṉ ke liye apní ján detá hai. 12Mazdúr jo na charwáhá hai, na bheṛoṉ ká málik, bheṛiye ko áte dekhkar bheṛoṉ ko chhoṛke bhág játá hai, aur bheṛiyá un ko pakaṛtá aur paráganda kartá hai. 13Wuh is liye bhág játá hai, ki mazdúr hai, aur us ko bheṛoṉ kí fikr nahíṉ. 14Achchhá charwáhá maiṉ húṉ; jis tarah Báp mujhe jántá hai, aur maiṉ Báp ko jántá húṉ,
YÚHANNÁ 15
; 14 Jo kuchh maiṉ tum ko hukm detá húṉ, agar tum use karo, to mere dost ho. 15Ab se maiṉ tumheṉ naukar na kahúṉgá, kyúṉki naukar nahíṉ jántá ki us ká málik kyá karta hai; balki tumheṉ maiṉ ne dost kahá hai, is liye ki jo báteṉ maiṉ ne apne Báp se suniṉ, wuh sab tum ko batá díṉ
 13 Is se ziyáda mahabbat koí shaḳhs nahíṉ kartá, ki apní ján apne dostoṉ ke liye de de.
  YÚHANNÁ 15
; 7 Kisí rástbáz kí ḳhátir bhí mushkil se koí apní ján degá: magar sháyad kisí nek ádmí ke liye koí apní ján tak de dene kí jurʼat kare. 8Lekin Ḳhudá apní mahabbat kí ḳhúbí ham par yúṉ záhir kartá hai, ki jab ham gunahgár hí the, to Masíh hamárí ḳhátir múá
ʻIBRÁ NÍOṈ 10
; 9 aur phir yih kahtá hai, ki Dekh, maiṉ áyá húṉ, táki terí marzí púrí karúṉ; garaz wuh pahle ko mauqúf kartá hai, táki dúsre ko qáim kare. 10Usí marzí ke sabab ham Yisúʻ Masíh ke jism ke ek hí bár qurbán hone ke wasíle se pák kiye gaye haiṉ. 11Aur har ek káhin to khaṛe hokar har roz ʻibádat kartá hai, aur ek hí tarah kí qurbáníáṉ bár bár guzrántá hai, jo hargiz gunáhoṉ ko dúr nahíṉ kar saktíṉ: 12lekin yih shaḳhs hamesha ke liye gunáhoṉ ke wáste ek hí qurbání guzránkar, Ḳhudá kí dahiní taraf já baiṭhá;
 IFISÍOṈ 2
1Aur us ne tumheṉ bhí zinda kiyá, jab apne qusúron aur gunáhoṉ ke sabab murda the, 2jin meṉ tum peshtar dunyá kí rawish par chalte the, aur hawá kí ʻamaldárí ke hákim, yaʻní us rúh kí pairawí karte the, jo ab náfarmání ke farzandoṉ meṉ tásír kartí hai; 3in meṉ ham bhí sab ke sab pahle apne jism kí ḳhwáhishoṉ meṉ zindagí guzárte, aur jism aur ʻaql ke iráde púre karte the, aur dúsroṉ kí mánind tabaʻí taur par gazab ke farzand the: — 4magar Ḳhudá ne apne rahm kí daulat se, us baṛí mahabbat ke sabab, jo us ne ham se kí, 5jab qusúroṉ ke sabab murda hí the, to ham ko Masíh ke sáth zinda kiyá, (tum ko fazl hí se naját milí hai,) 6aur Masíh Yisúʻ meṉ shámil karke us ke sáth jiláyá, aur ásmání maqámoṉ par us ke sáth biṭháyá; 7táki wuh apní us mihrbání se, jo Masíh Yisúʻ meṉ ham par hai, ánewále zamánoṉ meṉ apne fazl kí beniháyat daulat dikháe: 8kyúṉki tum ko ímán ke wasíle fazl hí se naját milí hai: aur yih tumhárí taraf se nahíṉ: Ḳhudá ki baḳhshish hai: 9aur na aʻmál ke sabab se hai, táki koí faḳhr na kare. 10Kyúṉ-ki ham usí kí karígarí haiṉ, aur Masíh Yisúʻ meṉ un nek ʻamál ke wáste maḳhlúq húe, jin ko Ḳhudá ne pahle se hamáre karne ke liye taiyár kiyá thá.
11Pas yád karo, ki tum jo jism ke rú se gairqaumwále ho — aur wuh log jo jism meṉ háth se kiye húe ḳhatne ke sabab maḳhtún kahláte haiṉ, tum ko námaḳhtún kahte haiṉ — 12agle zamáne meṉ Masíh se judá, aur Isráíl kí saltanat se ḳhárij, aur waʻde ke ʻahdoṉ se náwáqif, aur náummed, aur dunyá meṉ Ḳhudá se ʻaláhida the. 13Magar tum jo pahle dúr the, ab Masíh Yisúʻ meṉ Masíh ke ḳhún ke sabab se nazdík ho gaye ho. 14Kyúṉki wuhí hamárí sulh hai, jis ne donoṉ ko ek kar liyá, aur judáí kí díwár ko jo bích meṉ thí, ḍhá diyá; 15chunáṉchi us ne apne jism ke zaríʻe se dushmaní, yaʻní wuh sharíʻat jis ke hukm zábitoṉ ke taur par the, mauqúf kar dí; táki donoṉ se apne áp meṉ ek nayá insán paidá karke sulh kará de; 16aur salíb par dushmaní ko miṭákar, aur us ke sabab se donoṉ ko ek tan banákar, Ḳhudá se miláe; 17aur us ne ákar, tumheṉ jo dúr the, aur unheṉ jo nazdík the, donoṉ ko sulh kí ḳhushḳhabarí dí: 18kyúṉki us hí ke wasíle se ham donoṉ kí ek hí Rúh meṉ Báp ke pás rasáí hotí hai. 19Pas ab tum pardesí aur musáfir nahíṉ rahe, balki muqaddasoṉ ke hamwatan aur Ḳhudá ke gharáne ke ho gaye, 20aur rasúloṉ aur nabíoṉ kí neo par, jis ke kone ke sire ká patthar ḳhud Masíh Yisúʻ hai, taʻmír kiye gaye ho; 21usí meṉ har ek ʻimárat mil milákar Ḳhudáwand meṉ ek pák maqdis bantí játí hai; 22aur tum bhí us meṉ báham taʻmír kiye játe ho, táki Rúh meṉ Ḳhudá ká maskan bano.
 ʻIbrá Níoṉ 8:13 (URDR55)
Jab us ne nayá ʻahd kahá, to pahle ko puráná ṭhahráyá. Aur jo chíz purání aur muddat kí ho játí hai, wuh miṭne ke qaríb hotí hai.
Marqus 2:22 (URDR55)
Aur nayí mai ko purání mashkoṉ meṉ koí nahíṉ bhartá; nahíṉ to mashkeṉ mai se phaṭ jáeṉgí, aur mai aur mashkeṉ donoṉ barbád ho jáeṉgí: balki nayí mai ko nayí mashkoṉ meṉ bharte haiṉ.
  KULUSSÍOṈ 2
; 20 Jab tum Masíh ke sáth dunyawí ibtidáí bátoṉ kí taraf se mar gaye, to phir un kí mánind jo dunyá meṉ zindagí guzárte haiṉ, ádmíoṉ ke hukmoṉ aur taʻlímoṉ ke muwáfiq, aise qáʻidoṉ ke kyúṉ páband hote ho, 21ki Ise na chhúná, use na chakhná, use háth na lagáná, 22(kyúṉki yih sárí chízeṉ kám meṉ láte láte faná ho jáeṉgí)? 23In bátoṉ meṉ apní íjád kí húí ʻibádat, aur ḳháksárí, aur jismání riyázat ke iʻtibár se hikmat kí súrat to hai, magar jismání ḳhwáhishoṉ ke rokne meṉ in se kuchh fáida nahíṉ hotá.
  KULUSSÍOṈ 2
; 9 kyúṉki Ulúhíyat kí sárí maʻmúrí usí meṉ mujassam hokar sukúnat kartí hai, 10aur tum usí meṉ maʻmúr ho gaye ho, jo sárí hukúmat aur iḳhtiyár ká sir hai: 11usí meṉ tumhárá aisá ḳhatna húá, jo háth se nahíṉ hotá, yaʻní Masíh ká ḳhatna, jis se jismání badan utárá játá hai; 12aur usí ke sáth baptisma meṉ dafn húe, aur is meṉ Ḳhudá kí quwwat par ímán lákar, jis ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, us ke sáth jí bhí uṭhe. 13Aur us ne tumheṉ bhí, jo apne qusúroṉ aur jism kí námakhtúní ke sabab se murda the, us ke sáth zinda kiyá, aur hamáre sab qusúr muʻáf kiye; 14aur hukmoṉ kí wuh dastáwez miṭá ḍálí, jo hamáre nám par, aur hamáre ḳhiláf thí; aur us ko salíb par kíloṉ se jaṛkar sámne se haṭá diyá: 15us ne hukúmatoṉ aur iḳhtiyároṉ ko apne úpar se utárkar un ká barmalá tamásha banáyá, aur salíb ke sabab se un par fathyábí ká shádiyána bajáyá.
16Pas kháne píne, yá ʻíd, yá naye chánd, yá sabt kí bábat koí tum par ilzám na lagáe: 17kyúṉki yih ánewálí chízoṉ ká sáya haiṉ, magar asl chízeṉ Masíh kí haiṉ. 18Koí shaḳhs ḳháksárí aur firishtoṉ kí ʻibádat pasand karke, tumheṉ dauṛ ke inʻám se mahrúm na rakkhe; aisá shaḳhs apní jismání ʻaql par befáida phúlkar, dekhí húí chízoṉ meṉ masrúf rahtá hai, 19aur us Sir ko pakṛe nahíṉ rahtá, jis se sárá badan joṛoṉ aur paṭṭhoṉ ke wasíle se parwarish pákar, aur báham paiwasta hokar, Ḳhudá kí taraf se baṛhtá játá hai.
 KULUSSÍOṈ 3
1Pas jab tum Masíh ke sáth jiláe gaye, to ʻálam i bálá kí chízoṉ kí talásh meṉ raho, jaháṉ Masíh maujúd hai, aur Ḳhudá kí dahiní taraf baiṭhá hai. 2ʻÁlam i bálá kí chízoṉ ke ḳhayál meṉ raho, na zamín par kí chízoṉ ke; 3kyúṉ ki tum mar gaye, aur tumhárí zindagí Masíh ke sáth Ḳhudá meṉ chhipí húí hai. 4Jab Masíh, jo hamárí zindagí hai, záhir kiyá jáegá, to tum bhí us ke sáth jalál meṉ záhir kiye jáoge.
  KULUSSÍOṈ 1
; 12 aur Báp ká shukr karte raho, jis ne ham ko is láiq kiyá, ki núr meṉ muqaddasoṉ ke sáth mírás ká hissa páeṉ; 13usí ne ham ko táríkí ke qabze se chhuṛákar apne ʻazíz Beṭe kí bádsháhat meṉ dáḳhil kiyá; 14jis meṉ ham ko maḳhlasí, yaʻní gunáhoṉ kí muʻáfí, hásil hai: 15wuh andekhe Ḳhudá kí súrat aur tamám maḳhlúqát se pahle maulúd hai; 16kyúṉki usí meṉ sárí chízeṉ paidá kí gayíṉ, ásmán kí hoṉ, yá zamín kí, dekhí hoṉ, yá andekhí, taḳht hoṉ, yá riyásateṉ, yá hukúmateṉ, yá iḳhtiyárát; sárí chízeṉ usí ke wasíle se, aur usí ke wáste paidá húí haiṉ; 17aur wuh sab chízoṉ se pahle hai, aur usí meṉ sárí chízeṉ qáim rahtí haiṉ. 18Aur wuhí badan, yaʻní kalísiyá, ká sir hai; wuhí mabdá hai, aur murdoṉ meṉ se jí uṭhnewáloṉ meṉ pahlauṭhá, táki sab bátoṉ meṉ us ká awwal darja ho; 19kyúṉki Báp ko yih pasand áyá, ki sárí maʻmúrí usí meṉ sukúnat kare; 20aur us ke ḳhún ke sabab jo salíb par bahá sulh karke, sab chízoṉ ká usí ke wasíle se apne sáth mel kar le, ḳhwáh wuh zamín kí hoṉ, ḳhwáh ásmán kí.
  KULUSSÍOṈ 2
; 2  aur Ḳhudá ke bhed, yaʻní Masíh ko pahcháneṉ, 3jis meṉ hikmat aur maʻrifat ke sáre ḳhazáne chhipe húe haiṉ. 4Yih maiṉ is liye kahtá húṉ, ki koí ádmí lubhánewálí bátoṉ se tumheṉ dhoká na de.
1 THISSALUNÍKÍOṈ 1
;  3 aur apne Ḳhudá aur Báp ke huzúr tumháre ímán; ke kám, aur mahabbat kí mihnat, aur us ummed ke sabr ko bilánága yád karte haiṉ, jo hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí bábat hai; 4aur ai bháiyo, Ḳhudá ke piyáro, ham ko maʻlúm hai ki tum barguzída ho; 5is liye ki hamárí ḳhushḳhabarí tumháre pás na faqat lafzí taur par pahuṉchí, balki qudrat aur Rúhuʼl Quds aur púre iʻtiqád ke sáth bhí; chunáṉchi tum jánte ho, ki ham tumhárí ḳhátir tum meṉ kaise ban gaye the. 6Aur tum kalám ko baṛí musíbat meṉ Rúhuʼl Quds kí ḳhushí ke sáth qubúl karke, hamárí aur Ḳhudáwand kí mánind bane; 7yaháṉ tak kí Makiduniya aur Aḳhaya ke sáre ímándároṉ ke liye namúna bane. 
  1 THISSALUNÍKÍOṈ 2
;  3 Kyúṉki hamárí nasíhat na gumráhí se hai, na nápákí se, na fareb ke sáth: 4balki jaise Ḳhudá ne ham ko maqbúl karke ḳhushḳhabarí hamáre supurd kí, waise hí ham bayán karte haiṉ; ádmíoṉ ko nahíṉ, balki Ḳhudá ko ḳhush karne ke liye, jo hamáre diloṉ ko ázmátá hai. 5Kyúṉki tum ko maʻlúm hí hai ki na kabhí hamáre kalám meṉ ḳhushámad páí gayí, na wuh lálach ká parda baná; Ḳhudá is ká gawáh hai; 6aur ham ádmíoṉ se ʻizzat nahíṉ cháhte the; na tum se, na auroṉ se; 
  1 THISSALUNÍKÍOṈ 4
; 8 Pas jo nahíṉ mántá, wuh ádmí ko nahíṉ, balki Ḳhudá ko nahíṉ mántá, jo tum ko apní Pák Rúh detá hai.
0 notes
yasarimel · 6 months
Video
youtube
उत्पत्ति 3:6 सो जब स्त्री ने देखा And when the woman saw
0 notes
yasarimel · 6 months
Video
youtube
Shalom Peace ਸ਼ਾਂਤੀ ειρήνη शांति שָׁלוֹם سلام
Shalom masih yeshua men aap saboh ki salamati ho
Shalom ka mtlab hai tumahri shanti ho
LÚQÁ 1
; 39 Un hí dinoṉ Maryam uṭhí, aur jaldí se paháṛí mulk meṉ Yahúdáh ke ek shahr ko gayí, 40aur Zakaryáh ke ghar meṉ dáḳhil hokar Ilíshibaʻ ko salám kiyá. 41Aur joṉhíṉ Ilíshibaʻ ne Maryam ká salám suná, to aisá húá ki bachcha us ke peṭ meṉ uchhal paṛá, aur Ilíshibaʻ Rúhuʼl Quds se bhar gayí, 42aur baland áwáz se pukárke bolí, ki Tú ʻauratoṉ meṉ mubárak, aur tere peṭ ká phal mubárak hai; 43aur mujh par yih fazl kaháṉ se húá, ki mere Ḳhudáwand kí máṉ mere pás áí? 44Kyúṉki dekh, joṉhíṉ tere salám kí áwáz mere kán meṉ pahuṉchí, bachcha máre ḳhushí ke mere peṭ meṉ uchhal paṛá. 45Aur mubárak hai wuh jo ímán láí, kyúṉki jo báteṉ Ḳhudáwand kí taraf se us se kahí gayí thíṉ, wuh púrí hoṉgí
LÚQÁ 1
; 35 Aur firishte ne jawáb meṉ us se kahá, ki Rúhuʼl Quds tujh par názil hogá, aur Ḳhudá Taʻálá kí qudrat tujh par sáya ḍálegí, aur is sabab se wuh pákíza jo paidá honewálá hai Ḳhudá ká Beṭá kahláegá.
 1 YÚHANNÁ 5
;  12 Jis ke pás Beṭá hai, us ke pás zindagí hai;
Galatíoṉ 4:6 (URDR55)
Aur chúṉki tum beṭe ho, is liye Ḳhudá ne apne Beṭe kí Rúh hamáre diloṉ meṉ bhejí, jo Abbá, yaʻní, Ai Báp, kah kahkar pukártí hai.
  ROMÍOṈ 15
; 4 Kyúṉki jitní báteṉ pahle likhí gayíṉ, wuh hamárí taʻlím ke liye likhí gayíṉ, táki sabr se aur kitáb i muqaddas kí tasallí se ummed rakkheṉ. 
 Yúhanná 1:1 (URDR55)
Ibtidá meṉ Kalám thá, aur Kalám Ḳhudá ke sáth thá, aur Kalám Ḳhudá thá.
. 4Us meṉ zindagí thí; aur wuh zindagí ádmíoṉ ká núr thá.
 AB JO KOI MASIH YESHUA PAR IMAN LATA OR JISPAR
MASIH YESHUA PAR IMAN LANE  SE RUH L QUDUS NAZIL HAI
OR WUH PAKIZA BETE KI RUH DIL MEN HAIN
 JISKE KALAM MEN ZINDGHI HAI
 TO JAB  APNE SE KISI DUSRE KO SHALOM SALAM KEHTA HAI
TO YUNHI ILISHBA KI TARAH JAB WUH SALAM SUNTA HAI
JISKE KAN HUN WUH SUNE RUH KILSIYAON SE KAYA KEHTE HAI
 41Aur joṉhíṉ Ilíshibaʻ ne Maryam ká salám suná, to aisá húá ki bachcha us ke peṭ meṉ uchhal paṛá, aur Ilíshibaʻ Rúhuʼl Quds se bhar gayí, 
 TO BACHA INSANI JISAMANI OR SUBAWIK ZINDGHI KI TAMSIL HAI TALIM
TO JAB HUM SHALOM SALAM KEHTE HAI TO DUSRE ZINDGHI YUHI SALAM SUNTE HI RUH L QUDUS SE BHAR JATI HAI
MAGAR USKE SALAM SE JISMEN ZINDGHI HAI
  LÚQÁ 10
; 5 Aur jis kisí ghar meṉ dáḳhil ho, pahle kaho, ki Is ghar kí salámatí ho. 6Agar waháṉ koí salámatí ká farzand hogá, to tumhárá salám us par ṭhahregá; 
SALAMATI KA FARZAND YANI  
SHANTI KA WARISH
JISKE DIL KE ANDAR BETE KE RUH HUGI
 YÚHANNÁ 1
YÚHANNÁ 1
; 32 Aur Yúhanná ne yih gawáhí dí, ki Maiṉ ne Rúh ko kabútar kí tarah ásmán se utarte dekhá hai, aur wuh us par ṭhahr gayí.
 LÚQÁ 10
; 5 Aur jis kisí ghar meṉ dáḳhil ho, pahle kaho, ki Is ghar kí salámatí ho. 6Agar waháṉ koí salámatí ká farzand hogá, to tumhárá salám us par ṭhahregá; 
  YÚHANNÁ 14
; 27 Maiṉ tumheṉ itmínán diye játá húṉ; apná itmínán tumheṉ detá húṉ: jis tarah dunyá detí hai, maiṉ tumheṉ us tarah nahíṉ detá. Tumhárá dil na ghabráe aur na ḍare. 
 To ruh l quds humen kalam men saaf sikhata yaad dilata bata hai
Ki masih yesu se pehle humar paas duniya ka diya hua itminan tha
Jisse humara dil ghbarata or darta tha
 ROMÍOṈ 8
; 15 Kyúṉki tum ko gulámí kí rúh nahíṉ milí, jis se phir ḍar paidá ho; balki lepálak hone kí rúh milí, jis se ham Abbá, yaʻní Ai Báp, kahkar pukárte haiṉ.
 2 Tímuthiyus 1:7 (URDR55)
Kyúṉki Ḳhudá ne hameṉ dahshat kí rúh nahíṉ, balki qudrat, aur mahabbat, aur tarbiyat kí rúh dí hai.
 Masih ne humen wuhi  itminan vapis de k gaye jo adam ne adan bhag men khoya tha
 PAIDÁISH 3
; 8 Aur unhoṉ ne Ḳhudáwand Ḳhudá kí áwáz, jo ṭhanḍe waqt bág̣ meṉ phirtá thá, suní:
 Thanda waqt yani shanty shalom peace of heart
 Yesu wuhi shanty shalom peace jisse pehla adam mar gaya tha dusra adma phir ruh l quds ki madad se aur baap ke jalal men phir murdo men ji utha kin murdo men
Se jo shanty or peach or shalom se adam ke sath jitni bhi adam mar gai
Wuh sari adamjat masih yeshu ke zinda hune se humesha ke liye
Peace shalom shanti men phir zinda hui or hai or humesha rahe gi
 YÚHANNÁ 20
; 19 Phir usí din jo hafte ká pahlá din thá, shám ke waqt, jab waháṉ ke darwáze jaháṉ shágird the, Yahúdíoṉ ke ḍar se band the, Yísúʻ ákar bích meṉ khaṛá húá, aur un se kahá, ki Tumhárí salámatí ho! 20Aur yih kahkar us ne apne háth aur paslí unheṉ dikháí. Pas shágird Ḳhudáwand ko dekhkar ḳhush húe. 21Yisúʻ ne phir un se kahá, ki Tumhárí salámatí ho; jis tarah Báp ne mujhe bhejá hai, usí tarah maiṉ bhí tumheṉ bhejtá húṉ. 22Aur yih kahkar un par phúṉká aur un se kahá, ki Rúhuʼl Quds lo.
 Romíoṉ 8:6 (URDR55)
Aur jismání níyat maut hai; magar rúhání níyat zindagí aur itmínán hai:
 Galatíoṉ 5:22 (URDR55)
Magar Rúh ká phal mahabbat, ḳhushí, itmínán, tahammul, mihrbá-ní, nekí, ímándárí,
23hilm, parhezgárí hai:
2 Patras 1:2 (URDR55)
Ḳhudá, aur hamáre Ḳhudáwand Yisúʻ kí pahchán ke sabab fazl aur itmínán tumheṉ ziyáda hotá rahe;
2 Thissaluníkíoṉ 1:2 (URDR55)
Fazl aur itmínán Ḳhudá Báp aur Ḳhudáwand Yisúʻ Masíh kí taraf se tumheṉ hásil hotá rahe.
Amsál 1:33 (URDR55)
Lekin jo merí suntá hai wuh mahfúz hogá, Aur áfat se niḍar hokar itmínán se rahegá.
Filippíoṉ 4:7 (URDR55)
to Ḳhudá ká itmínán, jo samajh se biʼlkull báhar hai, tumháre diloṉ aur ḳhayáloṉ ko Masíh Yisúʻ meṉ mah-fúz rakkhegá.
Kulussíoṉ 3:15 (URDR55)
Aur Masíh ká itmínán, jis ke liye tum ek badan hokar buláe bhí gaye ho, tumháre diloṉ par hukúmat kare, aur tum shukrguzár raho.
 Filippíoṉ 4:9 (URDR55)
Jo báteṉ tum ne mujh se síkhíṉ, aur hásil kíṉ, aur suníṉ, aur mujh meṉ dekhíṉ, un par ʻamal kiyá karo; to Ḳhudá jo itmínán ká chashma hai tumháre sáth rahegá.
 Yúhanná 16:33 (URDR55)
Maiṉ ne tum se yih báteṉ is liye kahíṉ, ki tum mujh meṉ itmínán páo. Dunyá meṉ musíbat uṭháte ho; lekin ḳhátir jamaʻ rakkho; maiṉ dunyá par gálib áyá húṉ.
 Romíoṉ 15:13 (URDR55)
Pas Ḳhudá, jo ummed ká chashma hai, tumheṉ ímán rakhne ke báʻis sárí khushí aur itmínán se maʻmúr kare, táki Rúhuʼl Quds kí qudrat se tumhárí ummed ziyáda hotí jáe.
 Romíoṉ 8:14 (URDR55)
Is liye ki jitne Ḳhudá kí Rúh kí hidáyat se chalte haiṉ, wuhí Ḳhudá ke beṭe haiṉ.
 FILIPPÍOṈ 4
;  7 to Ḳhudá ká itmínán, jo samajh se biʼlkull báhar hai, tumháre diloṉ aur ḳhayáloṉ ko Masíh Yisúʻ meṉ mah-fúz rakkhegá.
2 THISSALUNÍKÍOṈ 3
; 16 Ab Ḳhudáwand jo itmínán ká chashma hai, áp hí tum ko hamesha aur har tarah se itmínán baḳhshe. Ḳhudáwand tum sab ke sáth rahe.
   MUKÁSHAFA 1
; 5 aur Yisúʻ Masíh kí taraf se, jo sachchá gawáh, aur murdoṉ meṉ se jí uṭhnewáloṉ meṉ pahlauṭhá, aur dunyá ke bádsháhoṉ par hákim hai; tumheṉ fazl aur itmínán hásil hotá rahe. Jo ham se mahabbat rakhtá hai, aur jis ne apne ḳhún ke wasíle se ham ko gunáhoṉ se ḳhalásí baḳhshí,
2 Yúhanná 1:3 (URDR55)
Ḳhudá Báp, aur Báp ke Beṭe Yisúʻ Masíh kí taraf se fazl, aur rahm, aur itmínán, sachcháí aur mahabbat samet, hamáre shámilhál raheṉge.
0 notes
yasarimel · 7 months
Text
0 notes
yasarimel · 7 months
Text
स्त्री व्यभिचार करते ही पकड़ी गई है woman was taken in adultery, in the …
youtube
Matí 7:1 (URDR55)
ʻAibjoí na karo, ki tumhárí bhí ʻaibjoí na kí jáe;
Masih yeshu men aap saboh ki salamati ajj hum ruh l qudus ki madad se isi vishe par baat kare ge
YÚHANNÁ 8
; 3 Aur faqíh aur Farísí ek ʻaurat ko láe, jo ziná meṉ pakṛí gayí thí, aur use bích meṉ khaṛá karke Yisúʻ se kahá;
Zina men pakri magar kiske sath iska jikar nhi diya ye hum ruh l qudus se sikhe ge
Bech men khara kiya  magar sirf aurat ko mard ka phir jikar nhi
4Ai ustád, yih ʻaurat ziná meṉ ʻain fiʻl ke waqt pakṛí gayí hai. 
Ain fil ka matlab usi waqt bilkol amne samne range hathi
Ain fil uske or kaun tha
Wuh aurat kiske sath jina kati pakri gai  uska naam ya jikar phir nhi
Hai
 5Tauret meṉ Músá ne ham ko hukm diyá ki aisí ʻauratoṉ ko saṉgsár kareṉ; pas tú is ʻaurat kí nisbat kyá kahtá hai? 6Unhoṉ ne use ázmáne ke liye yih kahá, táki us par ilzám lagáne ká koí sabab nikáleṉ. Magar Yisúʻ jhukkar unglí se zamín par likhne lagá. 7Jab wuh us se suwál karte hí rahe, to us ne sídhe hokar un se kahá, ki Jo tum meṉ begunáh ho, wuhí pahle us ke patthar máre. 8Aur phir jhukkar zamín par unglí se likhne lagá. 9Wuh yih sunkar baṛoṉ se lekar chhoṭoṉ tak ek ek karke nikal gaye,
Eska matlab barror se lekar chhton tak sab ne zina kiya tha
Ab wuh ek yahi aurat ho ya  dusri koi aur
Kyu ki zina to aurat ke sath kiya jata hai auart to aurat hi huti hai
Sabs pehle pathar  faqih or farison men se kisne phenka
Ya ye kahe ilzam lagane walo men kisne phenka baro men se
To uske sath jina karne wala bhi un baro men se koi ek tha
Jo musa ki shara ke anusar jab uske sath pakra
Giya to apni baradrana izat ko bachane ke liye  aurat  hi ko  dhoshi therana Chaha ki agar mera naam sath men aye ga to puri faqih or farision ki
Baradari hi  badnaam ho jaye gi
नीतिवचन 14:34
जाति की बढ़ती धर्म ही से होती है, परन्तु पाप से देश के लोगों का अपमान होता है।
Aur kaun they faqihi aur Farisi men pehchaan ke taur par apko batana chaho ga
Or ajj ke faqihi farisi wuhi hain jinme inke se kaam hain
2Faqíh aur Farísí Músá kí gaddí par baiṭhe haiṉ; 3pas jo kuchh wuh tumheṉ batáeṉ, wuh sab karo aur máno, lekin un ke se kám na karo, kyúṉki wuh kahte haiṉ, aur karte nahíṉ. 4Wuh aise bhári bojh, jin ká uṭháná mushkil hai, báṉdhkar logoṉ ke kandhoṉ par rakhte haiṉ, magar áp unheṉ apní unglí se bhí hiláná nahíṉ cháhte. 5Wuh apne sab kám logoṉ ke dikháne ko karte haiṉ, kyúṉki apne taʻwíz baṛe banáte, aur apní poshák ke kanáre chauṛe rakhte haiṉ; 6aur ziyáfatoṉ meṉ sadrnishíní, aur ʻibádatḳhánoṉ meṉ aʻlá darje ki kursíáṉ, 7aur bázároṉ meṉ salám, aur ádmíoṉ se Rabbí kahláná pasand karte haiṉ
Aur yesu ne kaha faqiho or farison se kaha
Jo tum meṉ begunáh ho, wuhí pahle us ke patthar máre.
MATÍ 5
; 20 Kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Agar tumhárí rástbází faqíhoṉ aur Farísíoṉ kí rástbází se ziyáda na hogí, to tum ásmán kí bádsháhat meṉ hargiz dáḳhil na hoge. 
27Tum sun chuke ho ki kahá gayá thá, ki Ziná na kar; 28lekin maiṉ tum se yih kahtá húṉ, ki jis kisí ne burí ḳhwáhish se kisí ʻaurat par nigáh kí, wuh apne dil meṉ us ke sáth ziná kar chuká. 29Pas agar terí dahiní áṉkh tujhe ṭhokar khiláe, to use nikálkar apne pás se pheṉk de; kyúṉki tere liye yihí bihtar hai, ki tere aʻzá meṉ se ek játá rahe, aur terá sárá badan jahannam meṉ na ḍálá jáe. 30Aur agar terá dahiná háth tujhe ṭhokar khiláe, to us ko káṭkar apne pás se pheṉk de; kyúṉki tere liye yihí bihtar hai, ki tere aʻzá meṉ se ek játá rahe, aur terá sárá badan jahannam meṉ na jáe 31Yih bhí kahá gayá thá, ki Jo koí apní bíwí ko chhoṛe, use taláqnáma likh de. 32Lekin maiṉ tum se yih kahtá húṉ, ki jo koí apní bíwí ko harámkárí ke siwá kisi âur sabab se chhoṛ de, wuh us se ziná karátá hai; aur jo koí us chhoṛí húí se biyáh kare, wuh ziná kartá hai.
YÚHANNÁ 1
 17 Is liye ki sharíʻat to Músá kí maʻrifat dí gayí; 
Aur musa ne hi shriat men likha hai
Ḳhurúj 20:13 (URDR55)
Tú ḳhún na karná.
ḲHURÚJ 2
; 11 Itne meṉ jab Músá baṛá húá, to báhar apne bháiyoṉ ke pás gayá, aur un kí mashaqqatoṉ par us kí nazar paṛí aur us ne dekhá, ki ek Misrí us ke ek ‘Ibrání bháí ko már rahá hai. 12Phir us ne idhar udhar nigáh kí, aur jab dekhá ki waháṉ koí dúsrá ádmí nahíṉ hai, to us Misrí ko ján se márkar use ret meṉ chhipá diyá.
6Aur Músá and Hárún jamá‘at ke pás se jákar ḳhaima e ijtimá‘ ke darwáze par auṉdhe muṉh gire: tab Ḳhudáwand ká jalál un par záhir húá. 7Aur Ḳhudáwand ne Músá se kahá, ki 8Us láṭhí ko le, aur tú aur terá bháí Hárún, tum donoṉ jamá‘at ko ikaṭṭhá karo, aur un kí áṉkhoṉ ke sámne us chaṭán se kaho, ki wuh apná pání de; aur tú un ke liye chaṭán hí se pání nikálná; yúṉ jamá‘at ko aur un ke chaupáyoṉ ko piláná. 9Chunáṉchí Músá ne Ḳhudáwand ke huzúr se, usí ke hukm ke mutábiq wuh láṭhí lí. 10Aur Músá aur Hárún ne jamá‘at ko us chaṭán ke sámne ikaṭṭhá kiyá, aur us ne un se kahá, Suno, ai bág̣ío, kyá ham tumháre liye isí chaṭán se pání nikáleṉ? 11Tab Músá ne apná háth uṭháyá, aur us chaṭán par do bár láṭhí márí: aur kasrat se pání bah niklá, aur jamá‘at ne aur un ke chaupáyoṉ ne piyá.
musa se khuda ne ye nahi kaha ki lathi leke chatan par maran
musa se kaha lathi leke chatan se  kehna ki apna de
lekin musa ne kaya kiya chatan par do bar mara
ROMÍOṈ 10
 6 Magar jo rástbází ímán se hai, wuh yúṉ kahtí hai,
8Balki kyá kahtí hai? yih, ki Kalám tere nazdík hai, balki tere muṉh aur tere dil meṉ hai: yih wuhí ímán ká kalám hai, jis kí ham manádí karte haiṉ; 9ki agar tú apní zabán se Yisúʻ ke Ḳhudáwand hone ká iqrár kare, aur apne dil se ímán láe, ki Ḳhudá ne use murdoṉ meṉ se jiláyá, to naját páegá. 10Kyúṉki rástbází ke liye ímán láná dil se hotá hai; aur naját ke liye iqrár muṉh se kiyá játá hai.
 2 KURINTHÍOṈ 4
; 13 Aur chúṉki ham meṉ wuhí ímán kí rúh hai, jis kí bábat likhá hai, ki Maiṉ ímán láyá, aur isí liye bolá; pas ham bhí ímán láe, aur isí liye bolte haiṉ;
ʻIBRÁ NÍOṈ 11
;  3 Ímán hí se ham maʻlúm karte haiṉ, ki ʻálam Ḳhudá ke kahne se bane haiṉ; yih nahíṉ, ki jo kuchh nazar átá hai záhirí chízoṉ se baná ho.
PAIDÁISH 1
 ; 3Aur Ḳhudá ne kahá, ki Raushní ho já: aur raushní ho gayí. 4Aur Ḳhudá ne dekhá ki raushní achchhí hai;
ROMÍOṈ 7
 ; 1 (maiṉ un se kahtá húṉ jo sharíʻat se wáqif haiṉ,) ki jab tak ádmí jítá hai, usí waqt tak sharíʻat us par iḳhtiyár rakhtí hai?
YAʻQÚB 2
; 10 Kyúṉki jis ne sárí sharíʻat par ʻamal kiyá, aur ek hí bát meṉ ḳhatá kí, wuh sárí bátoṉ meṉ qusúrwár ṭhahrá. 11Is liye ki jis ne yih kahá, ki Ziná na kar, usí ne yih bhí kahá, ki Ḳhún na kar. Pas agar tú ne ziná to na kiyá, magar ḳhún kiyá, taubhí tú sharíʻat ká ʻudúl karnewálá ṭhahrá.
ROMÍOṈ 3
; 23 is liye ki sab ne gunáh kiyá,
1 YÚHANNÁ 1
; 8 Agar ham kaheṉ, ki ham begunáh haiṉ, to apne áp ko fareb dete haiṉ, aur ham meṉ sachcháí nahíṉ.
 MARQUS 7
;20 Jo ádmí meṉ se nikaltá hai, wuhí ádmí ko nápák kartá hai. 21Kyúṉki andar se, yaʻni ádmí ke dil se, bure ḳhayál, harámkáríáṉ, 22choriyáṉ, ḳhúnrezíáṉ, zinákáríáṉ, lálach, badíáṉ, makr, shahwatparastí, badnazarí, badgoí, sheḳhí, bewuqúfí nikaltí hai; 23yih sab burí báteṉ andar se nikalkar ádmí ko nápák kartí haiṉ.
GALATÍOṈ 5
; 19 Ab jism ke kám to záhir haiṉ, yaʻní harámkárí, nápákí, shahwatparastí, 20butparastí, jádúgarí, ʻadáwateṉ, jhagṛá, hasad, gussa, tafriqe, judáíáṉ, bidʻateṉ, 21bugz, nashebází, náchrang, aur âur in kí mánind: 
ROMÍOṈ 8
; 10  badan to gunáh ke sabab se murda hai
GALATÍOṈ 3
;  22 Magar kitáb i muqaddas ne sab ko gunáh ká mátaht kar diyá,
Dharm pustak ne paviter shashter ne purane niyam ne
ROMÍOṈ 5
; 20 táki qusúr ziyáda ho jáe;
1 KURINTHÍOṈ 10
; 12 Pas jo koí apne áp ko qáim samajhtá hai, wuh ḳhabardár rahe, ki gir na paṛe. 13Tum kisí aisí ázmáish meṉ nahíṉ paṛe, jo insán kí bardásht se báhar ho.
ROMÍOṈ 2
1Pas ai ilzám lagánewále, tú koí kyúṉ na ho, tere pás koí ʻuzr nahíṉ; kyúṉki jis bát ká tú dúsre par ilzám lagátá hai, usí ká tú apne áp ko mujrim ṭhahrátá hai; is liye ki tú jo ilzám lagátá hai, ḳhud wuhí kám kartá hai. 2Aur ham jánte haiṉ ki aise kám karnewáloṉ kí ʻadálat Ḳhudá kí taraf se haqq ke mutábiq hotí hai. 3Ai insán, tú jo aise kam karnewáloṉ par ilzám lagátá hai, aur ḳhud wuhí kám kartá hai, kyá yih samajhtá hai, ki tú Ḳhudá kí ʻadálat se bach jáegá?
 aur Yisúʻ akelá rah gayá, aur ʻaurat wahíṉ bích meṉ rah gayí. 10Yisúʻ ne sídhe hokar us se kahá; Ai ʻaurat yih log kaháṉ gaye? Kyá kisí ne tujh par hukm nahíṉ lagáyá? 11Us ne kahá; Ai Ḳhudáwand, kisí ne nahíṉ. Yisúʻ ne kahá; Maiṉ bhí tujh par hukm nahíṉ lagátá; já, phir gunáh na karná.]
0 notes
yasarimel · 7 months
Text
YESU KA JANAM
यीशु मसीह का जन्म किस महीने में हुआ In which month was Jesus Christ born
youtube
Masih yesu men aap saboh ki salamati ho
Aaj hum masih yeshua ke fazl raushni dalne wale hain khuda ke janam
Tarik ke bare according to Hebrew/ibrani/jews clender or uske sath hi humare yaha wuh kaunsa month huta hai lekin jis date ko hum christmis manate hain
Uske bare maine janne ki koshish ki Hebrew clender ke mutabik 25 december kaise
to mujhe parne ko mila ki
यीशु की जन्मतिथि की आम ईसाई पारंपरिक डेटिंग 25 दिसंबर थी, यह तारीख पहली बार 350 ईस्वी में पोप जूलियस प्रथम द्वारा आधिकारिक तौर पर घोषित की गई थी, हालांकि यह दावा संदिग्ध या अन्यथा निराधार है।
“25 दिसंबर को चुनने का असली कारण यह प्रतीत होता है कि यह 25 मार्च के ठीक नौ महीने बाद है, जो यीशु के क्रूस पर चढ़ने की पारंपरिक तारीख है। …जैसे ही ईसाइयों ने यह धार्मिक विचार विकसित किया कि यीशु का जन्म उसी दिन हुआ था और उन्हें सूली पर चढ़ाया गया था, उन्होंने उनके जन्म की तारीख नौ महीने बाद निर्धारित की।
Jo bible according bilkol sahi nhi hai
Bible men likha hai
GALATÍOṈ 4
; 4 lekin jab waqt púrá ho gayá, to Ḳhudá ne apne Beṭe ko bhejá, jo ʻaurat se paídá húá, aur sharíʻat ke mátaht paidá húá,
To masih yesu shriat yani musa ke vivstha adhin paida huye
LÚQÁ 1
; 26 Chhaṭe mahíne Jibraíl firishta Ḳhudá kí taraf se Galíl ke ek shahr meṉ jis ká nám Násarat thá, ek kuṉwárí ke pás bhejá gayá, 27jis kí maṉgní Dáúd ke gharáne ke ek mard Yúsuf nám se húí thí; aur us kuṉwárí ká nám Maryam thá. 28Aur firishte ne us ke pás andar áke kahá; Salám tujh ko, jis par fazl húá hai! Ḳhudáwand tere sáth hai. 29Wuh is kalám se bahut ghabrá gayí aur sochne lagí, ki yih kaisá salám hai. 30Firishte ne us se kahá; Ai Maryam, ḳhauf na kar, kyúṉki Ḳhudá kí taraf se tujh par fazl húá hai; 31aur dekh, tú hámila hogí aur beṭá janegí; us ká nám Yisúʻ rakhná.
Ab chhate yani six yani chewa mahina according to jews clender according to Hebrew clender
Hai chate mahine ka name hai elul ka chata mahina hai jis waqt humare clender ke mutabik
August se September ka mahina huta hai
Chatte mahine yani elul ke mahine se lekar
Sivan ke mahine tak 9 mahine bante hain jab humare yaha
Wuh mahina may/june ka mahina huta hai
Hum sab jante hi hunge ki maa ke grab dharan se lekar
Janam tak ke beach 9 mahine ka waqt huta hai
Bible ke mutabik or Hebrew clender or humare clender ke month ke mutabik 25 december bilkol match nhi karta
Humare waqt ke mutabik hum is waqt 2023 saal men chal rahen hain
Or Hebrew clender ke mutabik yani jews clender ke mutabik unka ye saal 5784 saal chal raha
To agar hum Hebrew yani jews clender ke mutabik dekhen masih yesu ka janam sivan ke mahine jo ibrani yani jews clender ka tisra mahina hai
Tisra mahina wuhi mahina hai bible padne walon ki pehchaan ke liye bible men se par rahan hun
Jo masih yesu ke janam ka mahina elul ke mahine se lekar sivan ka mhina nauwa mahina bnta hai
HIZQÍEL 31
1Phir gyárahweṉ baras ke tísre mahíne kí pahlí táríḳh ko Ḳhudáwand ká kalám mujh par názil húá, 2ki Ai ádamzád, sháh i Misr Fir‘aun aur us ke logoṉ se kah, Túm apní buzurgí meṉ kis kí mánind ho?
ḲHURÚJ 12
1Phir Ḳhudáwand ne mulk i Misr meṉ Músá aur Hárún se kahá, ki 2Yih mahína tumháre liye mahínoṉ ká shurú‘ aur sál ká pahlá mahína ho. 3Pas Isráílíoṉ kí sárí jamá‘at se yih kah do, ki Isí mahíne ke dasweṉ din, har shaḳhs apne ábáí ḳhándán ke mutábiq, ghar píchhe ek barra, le. 4Aur agar kisí ke gharáne meṉ barre ko kháne ke liye ádmí kam hoṉ, to wuh aur us ká hamsáya, jo us ke ghar ke barábar rahtá ho, donoṉ milkar, nafarí ke shumár ke muwáfiq ek barra le rakkheṉ; tum har ek ádmí ke kháne kí miqdár ke mutábiq barre ká hisáb lagáná. 5Tumhárá barra be‘aib, aur yaksála nar ho: aur aisá bachcha yá to bheṛoṉ meṉ se chunkar lená, yá bakriyoṉ meṉ se. 6Aur tum use is mahíne kí chaudahwíṉ tak rakh chhoṛná: aur Isráílíoṉ ke qabíloṉ kí sárí jamá‘at shám ko use zabh kare. 7Aur thoṛá sá ḳhún lekar jin gharoṉ meṉ wuh use kháeṉ un ke darwázoṉ ke donoṉ bázúoṉ aur úpar kí chaukhaṭ par lagá deṉ.
AHBÁR 23
; 4 Ḳhudáwand kí ‘ídeṉ, jin ká i‘lán tum ko muqaddas majma‘oṉ ke liye waqt i mu‘aiyan par karná hogá, so yih haiṉ. 5Pahle mahíne kí chaudahwíṉ táríḳh ko shám ke waqt Ḳhudáwand kí fasah húá kare. 6Aur usí mahíne kí pandrahwíṉ táríḳh ko Ḳhudáwand ke liye ‘Íd i Fatír ho. Us meṉ tum sát din tak beḳhamírí roṭí kháná. 7Pahle din tumhárá muqaddas majma‘ ho; us meṉ tum koí ḳhádimána kám na karná. 8Aur sátoṉ din tum Ḳhudáwand ke huzúr átashín qurbání guzránná, aur sátweṉ din phir muqaddas majma‘ ho; us roz tum koí ḳhádimána kám na karná.
Or es pehle mahine ka naam hai aviv ibrani men kehten hain or bablyonin es mhine ko nishan
Ka mahina kehte hai or humare yaha ye mahina march or april ka mahina huta hai
Isi mahine masih yesu ko salib diya gaya
LÚQÁ 22
1Aur ʻÍd i Fatír, jis ko ʻÍd i Fasah kahte haiṉ, nazdík thí. 2Aur sardár káhin aur faqíh mauqaʻ ḍhúṉdh rahe the ki use kis tarah már ḍáleṉ, kyúṉki logoṉ se darte the.
3Aur Shaitán Yahúdáh meṉ samáyá, jo Iskariyotí kahlátá, aur un bárah meṉ shumár kiyá játá thá. 4Us ne jákar sardár káhinoṉ aur sipáhíoṉ ke sardároṉ se saláh kí, ki us ko kis tarah un ke hawále kare. 5Wuh ḳhush húe, aur use rupaye dene ká iqrár kiyá. 6Us ne mán liyá, aur mauqaʻ ḍhúṉḍhne lagá, ki use bagair hangáme ke un ke hawále kará de.
7Aur ʻÍd i Fatír ká din áyá, jis meṉ Fasah zabh karná farz thá. 8Aur Yisúʻ ne Patras aur Yúhanná ko yih kahkar bhejá, ki Jákar hamáre kháne ke liye fasah taiyár karo. 9Unhoṉ ne us se kahá; Tú kaháṉ cháhtá hai, ki ham taiyár kareṉ? 10Us ne un se kahá; Dekho, shahr meṉ dáḳhil hote hí tumheṉ ek ádmí pání ká ghaṛá liye húe milegá; jis ghar meṉ wuh jáe, us ke píchhe chale jáná. 11Aur ghar ke málik se kahná, ki Ustád tujh se kahtá hai; Wuh mihmánḳhána kaháṉ hai, jis meṉ apne shágirdoṉ ke sáth Fasah kháúṉ? 12Wuh tumheṉ ek baṛá báláḳhána árásta kiyá húá dikháegá: wahíṉ taiyárí karná. 13Unhoṉ ne jákar, jaisá us ne un se kahá thá warsá hí páyá, aur Fasah taiyár kiyá.
14Jab waqt ho gayá, to wuh kháná kháne baiṭhá, aur rasúl us ke sáth baiṭhe. 15Us ne un se kahá; Mujhe baṛí árzú thí, ki dukh sahne se pahle yih Fasah tumháre sáth kháúṉ; 16kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Use kabhí na kháúṉgá, jab tak wuh Ḳhudá kí bádsháhat meṉ púrá na ho. 17Phir us ne piyála lekar shukr kiyá, aur kahá, ki Is ko lekar ápas meṉ báṉṭ lo: 18kyúṉki maiṉ tum se kahtá húṉ, ki Angúr ká shíra ab se kabhí na píúṉgá, jab tak Ḳhudá kí bádsháhat na á le. 19Phir us ne roṭí lí, aur shukr karke toṛí, aur yih kahkar un ko dí, ki Yih merá badan hai, jo tumháre wáste diyá játá hai: merí yádgárí ke liye yihí kiyá karo. 20Aur isí tarah kháne ke baʻd piyála yih kahkar diyá, ki Yih piyála mere us ḳhún meṉ nayá ʻahd hai, jo tumháre wáste baháyá játá hai. 21Magar dekho, mere pakaṛwánewále ká háth mere sáth mez par hai. 22Kyúṉki Ibn i Ádam to, jaisá us ke wáste muqarrar hai, játá hí hai; magar us shaḳhs par afsos hai, jis ke wasíle se wuh pakaṛwáyá játá hai! 23Is par wuh ápas meṉ púchhne lage, ki Ham meṉ se kaun hai, jo yih kám karegá?
0 notes
yasarimel · 8 months
Text
youtube
1 note · View note