Tumgik
#and also nandkisore guess who added the parts in brackets ;)
msbhagirathi · 1 month
Text
The Madhumati Gupta Buaji Weekly
Mugzeen Adison (Magazine Edition)
Namaste Nandkisore!
Aasaa karat hain ki, nandkisore, aap sab logan theek haai. Hum logan bhi theek haai, nandkisore. Sasi babua bhi ab theek hi haai bas pahile se tanik kamjor hui gaye, chhari ke sahare chalat haain ab. Aoor humka bataye rahe ki oo ki ee halat bhi oo Syaam ki kirpa rahi. Humra mann toh karat raha ki oo sasure ko ek ghumaai ke lagay de ki jindagi bhar phir aisan kucho karat ki jurrat naa karihe, haa.
Chalo choro babua/bitiya. Arre nandkisore ab tanik aapan baat bhi karau, ghar mein sab logan theek haai na? Tohre Amma-Bauji, tohri kauno humre jaisan Buaji hau toh oo sab theek haai na, nandkisore?
Ab kaa batyay tohka, nandkisore. Kal parso ki baat rahi, Sanka Devi aayi gayi phudakti-phudakti Laxminagar. Humka kahine lagi ki Arnav babua ke daftar mein kauno mugzeen-wugzeen ke khaatir humka kucho likhna haai. Hum kahe ki ab nandkisore humre jamane mein toh hum aoor tohre phuphaji itni chitthi likhat rahe ki bas pucho naahi. Toh oo kahi ki theek haai buaji aap chitthi likh ke humko bataay dena hum aa kar le jayenge, ab humri buddhi bhi umar ke kaaran mand pari rahi, oo ka jaaye ke baad, hum bhi bhul gaye nandkisore.
Saara kaam karke aaike baithe the, ki oo ka fone aayi gaya, humka puchi ki chhitthi likhe haai ki naahi, toh hum kahe, nandkisore, kaam mein thora byast hoyi gaye the, abhi likhat rahe.
Ab hum kaa bataay, nandkisore, humri jindagi mein kauno bataane layak khaas toh kucho haai nahi. Athaarah (18) ke the, amma-bauji ne byaah karaaye diya, tohre phuphaji un dino rail maashter kaa kaam karat rahe. Byaah ke baad humka liye eehan Delhi aayi gaye Laxminagar, ab nandkisore tabahu se hum idhar hi rahat haai.
[Buaji aur phuphaji honeymoon ke liye puri dilli ghume the. Phuphaji jab bhi kaam ke wajah se dusri jagah jaate toh wahan se buaji ko chitthi likhte the. ~Buaji ki pyaari SD ;)]
Sabahu theek chalat raha tha. Byaah ke teen saal baad, ek din khabar mili ki kauno train mein aag lag gayi haai, aoor bohut logan ki jaan gayi haai, a phir hum bhi chakkar kaat kaat kar thak gaye, nandkisore, daftar se aspataal aoor aspataal se phir daftar, phir unke daftar se ek din chhitthi aaye ki tohre phuphaji toh milat naahi toh unki penson ki raakam ab humko mila karegi, hum bohut roye oo din.
Bohut hi ache insaan the, nandkisore, hum behad prem karat the, ab kaa karaein, oo din ke baad se hum aapan nandkisore ke charno mein samarpit hoye gaye. Khair jaane do nandkisore. Ee sab toh bohut purani baat rahi.
Aye nandkisore, agar tumlogan ka kauno dikkat paresaani rahe toh humka bataayi dio, hum tohka tanik samajhaai denge, aoor baaki sab humre nandkisore ke haathon chor denge, theek haai naa? Bilkul kauno dikkat rahi toh bitiya humka aapan buaji samajh kar, eehan aaike bataai dena, mann bhi thora halka hoat jayi. Aoor hum toh waisan bhi jyaada kaam-kaaj naa kar sakat haai naa, toh pura din bas baith ke hi gujar jaat haai. Tohka chitthi likhan ke khaatir humra bhi tanik samay beet jaye.
Ab hum thehre bujurg, humse kaun baat karihe? Oo bhi chitthi likhke, nandkisore? Aajkal toh naa jaane kaa oosab bhatsup-discaard bhagwaan jaane aoor kaa-kaa aayi gaye haai, chitthi likhne ka phursat kaun ke paas rahai?
Khair choro. Humka toh aoor kuch soojh hi naahi rahat haai nandkisore, aoor kaa likhe? Chalao phir rakhte haai kuch batana hau toh likhat dena theek haai naa?
Aoor haan. Humka sunne mein aawat haai ki Sanka Devi ki kauno saheli ka aaj janam din raha? Ee baat sach haai ka, nandkisore? Janam din ki bohut bohut subhkamna tohka, nandkisore. Khub kaam karau, mehnat karau, Arnav babua aoor titaliya ke jaisan naam-paisa kamao, aoor tohka pati-parmeswar toh bohut hi bhagyawaan raha ki oo ka tohre jaisan patni milat rahi, nandkisore (byaah kee ho ki naahi, nandkisore?)
Aoor humri taraf se kauno meethaai wagerah khaa lena, tohka ghar ka pata (address) hota toh dukaan se jalebi aoor kucho dusri meethaai bhijwai dete par kauno baat naahi bitiya muskuraayete rehna. Jindagi mein rone ke bohut mauke milenge par muskuraaye ke mauke khud hi dhundne parat haai, nandkisore.
Chalao phir, ab rakhat haai. Garima ke saath mandir jaanat haai nandkisore. Namaste.
P.S. : Lol. I got this idea today like literally today and then thought of getting started but now I am kinda confused about something whether I should continue this one from buaji's POV only or I should write from all the characters' POV's. Let me know. And also ket me know ki yeh kuch samajh mein aaya bhi ki ekdum kachra kar diya hai maine. Lol :') Ok so I should have added this bit in the beginning but nvrmnd *shrugs* So I have considered double 'a' for आ sound, double 'o' for ऊ sound, double 'e' for इ sound and single 'a' is for अ sound, rest if you find any kind of confusion, please feel free to ask for help, considering this is not regular Hindi so :) Ok. Bye. God bless you.
17 notes · View notes