Tumgik
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
Abu Tufail Amir se rivayat hai ki main hazrat Ali Radi Allahu Anhu ke pass baitha tha,
itne mein ek shakhs aaya aur kahne laga Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aapko kuch chup kar (secretaly) batlaya hai ,
to Hazrat Ali Radi Allahu Anhu naraz huye aur kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe aisee koi cheez nahi batlayee jo dusro se chupa li ho,
siwaye chaar baato ke ,
wo shaksh kahne laga ki Eh Ameerul momeneen wo baatein kaunsi hain?
hazrat Ali Radi Allahu Anhu ne kaha ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:
Jo apne walid par laanat kare us par Allah ki laanat hai , jo Allah ke siwa kisi aur ke liye Qurbani kare us par bhi Allah ki laanat hai,
jo deen mein naye naye kaam nikalne wale (bidati) ko jagah de us par bhi Allah ki laanat hai,
aur jo zameen ke nishan (boundry line) ko badal de us par bhi Allah ki laanat hai
Sahih Muslim, Jild 5 , 5124
----------------------------------
English translation
----------------------------------
Abu Tufail Amir bin Withila reported I was in the company of Ali b. Abi Talib,
when a person came to him, and said: What was it that Allah's Apostle (ﷺ) told you in secret?
Thereupon he (liadrat 'All) was enraged and said: Allah's Apostle (ﷺ) did not tell me anything in secret that he hid from people,
except that he told me four things.
He said: Commader of Faithful, what are these?
He Sallallahu Alaihi wasallam said: Allah cursed him who cursed his father;
Allah cursed him who sacrificed for anyone besides Allah;
and Allah cursed him who accommodates an innovator (in religion) ;
and Allah cursed him who changed the minarets (the boundary lines) of the land.
Sahih Muslim, Book 22, Hadith 4876

Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Abu Darda'a Radi-Allahu-Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaaya:
Kya main tumko aisa amal na bataun jo tumhare amaal mein sab se behtar ho,
Tumhare maalik ke nazdeek sab se ziyada pakeezah,
Tumhare darjon ko bahut ziyada buland karne waala,
Sone chaandi ko Allah Ta'ala ke raaste mein bhi kharch karne se bhi behtar,
Aur jihad mein tum dushmanon ko qatl karo ao tumko qatl karen iss se bhi bada ho?
Sahaba Radi-Allahu-Anhu ne arz kiya, Zaroor bataiye!
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaaya: wo amal Allah Ta'ala ka zikr hai.
[Tirmizi ]
Muntakhab Ahadith,
Ilm-o-Zikr,
Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Fazail,
Hadith no 77
#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaaya:
Chaar cheezein aisi hai jisko wo mil gayee usko duniya wa aakhirat ki har Khair mil gayee.
1) Shukr karne waala dil,
2) Zikr karne waali zubaan,
3) musibaton par sabr karne waala amal,
4) aur aisi biwi jo na apne nafs mein khayanat kare (yaani paak daaman rahe aur na shauhar ke maal mein khayanat kare).
[Tirbani, Majma Al-Zawa'id ]
Muntakhab Ahadith,
Ilm-o-Zikr,
Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Fazail,
Hadith no 78
#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Abu Darda'a Radi-Allahu-Anhu riwaayat karte hain ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaaya:
Allah Ta'ala ki taraf se rozana din raat ehsaan aur sadqa hota rehta hai lekin koie ehsaan kisi bande par iss se badh kar nahi ke isko Allah Ta'ala apne zikr ki taufeeq naseeb farmaa dein.
[Tirbani, Majma Al-Zawa'id ]
Muntakhab Ahadith,
Ilm-o-Zikr,
Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Fazail,
Hadith no 79
#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Hanzala Osaidi Radi-Allahu-Anhu riwaayat karte hain ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaaya:
Qasam hai iss zaat ki jiske qabze mein meri jaan hai agar tumhara haal waisa rahe jaisa mere pass hota hai,
Aur tum har waqt Allah ke Zikr mein mashgool raho to farishte tumhare bistaron par aur tumhare raaston mein tum se musahifa karne lage lekin Hanzala baat ye hai ke ye kaifiyat kabhi kabhi hoti hai.
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ye baat teen martaba irshaad farmayee (yaani insaan ki ek hi kaifiyat har waqt nahi rehti balke halaat ke etbaar se badalti rehti hai.
[Sahih-Al-Muslim ]
Muntakhab Ahadith,
Ilm-o-Zikr,
Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Fazail,
Hadith no 80
#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Mu'az Bin Jabal Radi-Allahu-Anhu riwaayat karte hain ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaaya:
Jannat waalon ko jannat mein jaane ke baad duniya ki kisi cheez ka afsos nahi hoga siwaye uss ghadi ke jo duniya mein Allah Ta'ala ke Zikr ke baghair guzri hogi.
[Tirbani, Baihaqi, Jaame Sagheer]
Muntakhab Ahadith,
Ilm-o-Zikr,
Allah Ta'ala Ke Zikr Ke Fazail,
Hadith no 81
--------------------------
English Translation
---------------------------
Bismillahirrahmanirrahim
Abu Darda Radiyallahu 'anhu narrates that Nabi Sallallahu 'alaihi wasallam asked:
Would you like me to tell you the best of all your deeds,
and the purest of them to your Lord, which raises your ranks to the highest and is better for you than the spending of gold and silver (in the path of Allah),
and better for you than that you encounter your enemy whose necks you cut and who cut your necks? The Sahabah replied: Yes, indeed!
He said: It is the Dhikr of Allah, the Exalted.
(Tiimidhi)
Muntakhab Ahadith,
ILM AND DHIKR,
Virtues Of Remembering Allah,
Hadith no 77
#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%
Bismillahirrahmanirrahim
Ibn 'Abbas Radiyallahu 'anhuma narrates that Nabi Sallallahu 'alaihi wasallam said:
There are four characteristics of such a nature that one who has been blessed with them has been blessed with what is the best in this world and the Hereafter:
(1) A thankful heart,
(2) A tongue which remembers Allah,
(3) A body which endures hardships and
(4) A wife who does not desire to breach the trust of her husband or squander his wealth.
(Tabarani)
Muntakhab Ahadith,
ILM AND DHIKR,
Virtues Of Remembering Allah,
Hadith no 78
#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%
Bismillahirrahmanirrahim
Abu Darda Radiyallahu 'anhu narrates that Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam said:
Every day and night Allah showers kindness and charity on his slaves. And no kindness is better than the inspiration of His remembrance that Allah grants to any of His slaves. (Tabarani, Majma-'uz-Zawaid)
Muntakhab Ahadith,
ILM AND DHIKR,
Virtues Of Remembering Allah,
Hadith no 79
#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%
Bismillahirrahmanirrahim
Hanzalah AI-Usaidi Radiyallahu 'anhu narrates that Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam said:
I swear by the One in Whose Hand is my life that if you were to maintain the state in which you are with me, and continue the remembrance of Allah,
the angels would shake hands with you on your beds and in your walkways; but O Hanzalah!
There is a time for every thing.
He said this three times.
Note: This hadlth means that one cannot maintain the same state and level of feelings continually, rather the state of one's heart keeps changing with the happenings of daily life.
(Muslim)
Muntakhab Ahadith,
ILM AND DHIKR,
Virtues Of Remembering Allah,
Hadith no 80
#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%#%
Bismillahirrahmanirrahim
Mu'adh ibn Jabal Radiyallahu 'anhu narrates that Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam said:
The dwellers of Paradise will not regret anything except the moment spent by them (in the worldly life) without the remembrance of Allah 'Azza wa Jalil.
(Tabarani, BaihaqT, Jami'us-Saghir)
Muntakhab Ahadith,
ILM AND DHIKR,
Virtues Of Remembering Allah,
Hadith no 81
Tumblr media
2 notes · View notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Abu Huraira Radi-Allahu-Anhu riwaayat farmaate hain ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaaya:
Aakhri zamaane Mein Kuch Aise lok zahir Honge jo deeb ki Aard Mein Duniya ka shikaar Karenge.
Bhedon ki Narm khaal ka libas pehnege (ta'ake log inhe duniya Se beragbat samjhe),
Inki zuban shakar (sugar) se bhi ziyada meethi hogi magar inke dil bhediyon jaise honge.
(inke baare mein) Allah Ta'ala ka farmaan hai:
Kya ye log Mere dheel dene se dhoka kha rahe hain, ya mujhse niddar ho kar Mere muqabil mein dillair ban rahe hain?
Mijhe apni qasam hai ke Main inn logon mein inhi mein se aisa fitna khada karunga jo inke aqal mandi ko bhi hairaan (wa pareshan) bana kar chhor dega, (yaani inhi logon mein se aise logon ko muqarrar kar doun ga jo inko tarah tarah ke nuqsaan mein mubtela karenge.
[Tirmizi ]
Muntakhab Ahadith,
Ikhlaas-e-Niyyat,
Riyakaari,
Hadith no 43
------------------------------
English Translation
-------------------------------
Bismillahirrahmanirrahim
Abu Hurairah Radiyallahu 'anhu narrates that Rasulullah Sallallahu 'alaihi wasallam said:
In the last period, such men will come forth, who will fraudulently use religion for worldly ends, and wear sheepskins in public to display meekness (pretending to be without worldly desires).
Their tongues will be sweeter than sugar, but their hearts will be the hearts of wolves.
Allah Ta'ala will say: Are they trying to deceive Me or do they dare to rise up against Me?
I swear- by Myself that I shall send such afflictions upon them, which will leave the intelligent among them confounded.
(That, I will impose such people on them, from amongst them, who will cause a variety of problems for them.)
(Tirmidhi)
Muntakhab Ahadith,
Sincerity of intention,
Condemnation of riya,
Hadith no 43
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Abdullah Bin Omer Radi-Allahu-Anhu se riwaayat hai ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaaya:
Jo amanatdar nahi wo kaamil imaan waala nahi,
Jiska wazu nahi uski Namaz nahi,
Aur jo Namaz na padhe uska koie deen nahi.
Namaz ka darja deen mein aisa hi hai jaise sar ka darja badan mein hai (yaani jaise sar ke baghair insaan zinda nahi reh sakta issi tarah Namaz ke baghair deen baaqi nahi reh sakta.
[Tirbani, Targheeb]
Muntakhab Ahadith,
Namaz,
Farz Namazein,
Hadith no 43
##################################
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Jaber Bin Abdullah Radi-Allahu-Anhu se riwaayat hai ke maine Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ye irshaad farmaate huwe suna:
Namaz ka chordna Musalman ko kufr wa shirk tak pahunchane waala hai.
[Sahih-Al-Muslim]
FAIDA: Ulma ne iss hadees ke kayi matlab bayaan farmaaye hain jiss mein se ek ye hai ke Be-Namazi gunahon ke karne par bebaak hojaata hai jiss ki wajah se iske kufr mein daakhil hone ka khatra hai.
Dusra ye hai ke Be-Namazi ke bure khaatme ka andesha hai.
Muntakhab Ahadith,
Namaz,
Farz Namazein,
Hadith no 44
##################################
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhu se riwaayat hai ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaaya:
Jiss shaqs ne Namaz chord di wo Allah Ta'ala se aisi haalat mein milega ke Allah Ta'ala isse sakht naraaz honge.
[Tirbani, Majma Al-Zawa'id]
Muntakhab Ahadith,
Namaz,
Farz Namazein,
Hadith no 45
##################################
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Naufal Bin Muawiya Radi-Allahu-Anhu se riwaayat hai ke Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaaya:
Jiss shaqs ki ek Namaz bhi faut hogayi wo aisa hai ke goya uske ghar ke log aur maal-o-daulat sab cheenliya gaya ho.
[Ibn Hibban ]
Muntakhab Ahadith,
Namaz,
Farz Namazein,
Hadith no 46
----------------------------
English Translation
----------------------------
Bismillahirrahmanirrahim
Ibn 'Umar Radiyallahu 'anhuma narrates that Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam said:
There is no (perfect) Iman for one who has no trustworthiness,
and there is no Salat for one who has no Wudu,
and there is no Deen for one who has no Salat.
The status of Salat in Deen is like the status of the head in a body. (Tabarani, Targhib)
Muntakhab Ahadith,
Salat-Prayers,
Obligatory prayers,
Hadith no 43
##################################
Bismillahirrahmanirrahim
Jabir Ibn Abdullah Radiyallahu 'anhuma narrates: I heard Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam saying: Between man and (his entering into) polytheism and unbelief is the abandonment of Salat.
(Muslim)
Note: Scholars of Islam have offered several explanations to this hadlth. One is that a person who abandons Salat becomes increasingly arrogant and bold in committing sins,
which may endanger his faith. Another explanation is that the one who abandons Salat runs the risk of an evil end.
(Mirqat-ul-Mafatih)
Muntakhab Ahadith,
Salat-Prayers,
Obligatory prayers,
Hadith no 44
##################################
Bismillahirrahmanirrahim
Ibn 'Abbas Radiyallahu 'anhuma narrates that Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam said:
He who abandons Salat shall meet Allah in a state that Allah will be very angry with him.
(Bazzar, Tabarani, Majma'uz-Zawaid)
Muntakhab Ahadith,
Salat-Prayers,
Obligatory prayers,
Hadith no 45
##################################
Bismillahirrahmanirrahim
Naufal Ibn Mu'awiya Radiyallahu 'anhu narrates that Nabi Sallallahu 'alaihi wasallam said:
The person who missed even one Salat is as though he has been deprived of his entire family and wealth.
(Ibn Hibban)
Muntakhab Ahadith,
Salat-Prayers,
Obligatory prayers,
Hadith no 46
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Ibne Abbas (RA) kehte hain ke huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaaya:
jo shaqs bagair dekhe huwe jhoota khwaab bayaan karega Qayamat ke din ussko 2 juwaon mein girah lagaane ka huqm hoga,
naa woh girah laga sakega (na usko azaab se nijaat milegi),
jo shaqs kisi qaum ki baatein posheeda ho kar sunega aur unn logon ko yeh baatein ghair ka sunna naa-gawaar maalum hota ho qayamat ke din aise logon ke kaanon mein seesa pighla kar dala jayega,
jo shaqs duniya mein tasweer banaayega Qayamat ke din usko huqm hoga ke iss tasweer mein rooh phunke, lekin uss mein yeh Ta'aqat kahaan ke rooh phunke.
Sahih-Al-bukhari 7042
------------------------------
English Translation
------------------------------
Narrated Ibn `Abbas:
The Prophet (ﷺ) said, "Whoever claims to have seen a dream which he did not see, will be ordered to make a knot between two barley grains which he will not be able to do;
and if somebody listens to the talk of some people who do not like him (to listen) or they run away from him, then molten lead will be poured into his ears on the Day of Resurrection;
and whoever makes a picture, will be punished on the Day of Resurrection and will be ordered to put a soul in that picture, which he will not be able to do." Ibn `Abbas also narrated a similar hadith.
Sahih al-Bukhari 7042
In-book reference : Book 91, Hadith 56
: Vol. 9, Book 87, Hadith 165 
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Omer Bin Khattab (Radiallahu anhu) bayaan karte hain ek din Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki hayaat ke zamaane mein, Maine Hisham Ibne Hakeem (Radiallahu anhu) ko surah furqaan padhte huwe suna Lekin maine unko iss surat mein kuch ziyada alfaaz tilawat karte suna jo Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujhko nahi taleem kiye the,
Mera iraada huwa ke main namaz hi mein unka sar pakad loun,
Lekin maine namaz khatm hone tak sabr kiya,
Jab woh namaz se faarigh hogaye toh maine unko apni chaadar se baandha aur dariyaaft kiya ke tumko yeh surat kisne taleem ki hai?
Unhon ne kaha ke maine Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) se seekhi hai,
Maine kaha tum jhoot bolte ho kyun ke jiss Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujhko taleem farmaayi thi tum bilkul iske khilaaf padh rahe the,
Main inko kheenchta huwa Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein legaya,
Arz kiya ya Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) maine inko sureh furqaan padhte suna tha,
Lekin jiss tarah Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujhko taleem ki thi yeh bilkul uske khilaaf ada kar rahe the,
Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaaya: unko chhor do,
Maine unko chhor diya,
Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaaya: hisham padho toh unhon ne issi tarah padh kar sunaayi jiss tarah maine unko padhte suna tha,
Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaaya: Haan iss tarah naazil huwi hai,
Mujhse farmaaya: Omer tum bhi padho,
Maine bhi Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko issi tarah padh kar sunaayi jiss tarah Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mujhko taleem ki thi,
Huzoor Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaaya: iss tarah bhi naazil huwi hai,
Qur'an 7 qiraton par naazil huwa hai,
inn mein se jo tumko aasaan ho padh liya karo.
Sahih-Al-bukhari 4992
---------------------------
English Translation
---------------------------
Narrated `Umar bin Al-Khattab:
I heard Hisham bin Hakim reciting Surat Al-Furqan during the lifetime of Allah's Messenger (ﷺ) and I listened to his recitation and noticed that he recited in several different ways which Allah's Messenger (ﷺ) had not taught me. I was about to jump over him during his prayer, but I controlled my temper, and when he had completed his prayer, I put his upper garment around his neck and seized him by it and said, "Who taught you this Sura which I heard you reciting?" He replied, "Allah's Messenger (ﷺ) taught it to me." I said, "You have told a lie, for Allah's Messenger (ﷺ) has taught it to me in a different way from yours." So I dragged him to Allah's Messenger (ﷺ) and said (to Allah's Messenger (ﷺ)), "I heard this person reciting Surat Al-Furqan in a way which you haven't taught me!" On that Allah's Apostle said, "Release him, (O `Umar!) Recite, O Hisham!" Then he recited in the same way as I heard him reciting. Then Allah's Messenger (ﷺ) said, "It was revealed in this way," and added, "Recite, O `Umar!" I recited it as he had taught me. Allah's Messenger (ﷺ) then said, "It was revealed in this way. This Qur'an has been revealed to be recited in seven different ways, so recite of it whichever (way) is easier for you (or read as much of it as may be easy for you)
Sahih-Al-Bukhari 4992
In-book reference : Book 66, Hadith 14
English reference : Vol. 6, Book 61, Hadith 514 (
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Mafhum-e-Hadith Qudsi: Zamane (waqt) ko bura na kaho
Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith Qudsi: Zamane (waqt) ko bura na kaho
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
ALLAH taala farmata hai ki insaan zamane (waqt ko) ko bura kahta hai jabki main hi zamana hu aur mere hi haath mein raat aur din hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6181
---------------------------
English Translation
---------------------------
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu : ALLAH's Apostle Sal-Allahu Alaihi Wasallam said,
"ALLAH Subhanahu said, "The offspring of Adam abuse the Dahr (Time), and I am the Dahr; in My Hands are the night and the day." !
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 200:
Narrated Abu Huraira Radi AllahuAnhuallahuanhu : ALLAH's Apostle said, "ALLAH said, 'The son of Adam hurts me for he abuses time though I am time: in My Hands are all things, and I cause the revolution of day and night.'
Sahih Bukhari, Book #60, Hadith #351
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Abu sayeed (RA) farmaate hain ke ek martaba Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) namaz ke liye masjid mein tashreef laaye,
Toh aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne dekha ke baaz logon ke daant (teeth) hassi ki wajah se khil rahe the,
Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaaya: agar tum lazzaton ke todne wali cheez Maut ko kasrat se yaad kiya karo toh tumhari yeh haalat na ho jo main dekh raha houn,
Lehaza lazzatein khatm karne waali cheez maut ko kasrat se yaad karo,
Kyun ke khabr par koie din aisa nahi guzarta jis mein woh yeh aawaz na deti ho ke,
Main pardes ka ghar houn,
Main tanhayi ka ghar houn,
Main mitti ka ghar houn,
Main keedon (insects) ka ghar houn,
Jab momin banda dafan kiya jata hai toh khabr isse kehti hai,
Tumhara aana mubarak hai, bahut achcha kiya jo tum aagaye, jitne log meri peet par chalte hai mujhe tum inn sab mein ziyada pasand the, Aaj jab tum mere supurd kiye gaye ho aur mere pass aaye ho mere behtareen sulok ko bhi dekhoge.
Iske baad khabr jahan tak murde ki nazar pahonch sake wahan tak kushada ho jati hai,
Aur isske liye ek darwaaza jannat ki taraf khol diya jata hai.
Aur jab koie gunahgaar ya kafir khabr mein rakha jata hai toh khabr kehti hai,
Tera aana namubarak hai, bahut bura kiya jo tu yahan aaya,
Jitne log mere peet par chalte the inn sab mein tujh hi se mujhe ziyada nafrat thi.
Aaj jab tu mere hawaale huwa hai
Aur mere pass aaya hai tu mere bure sulok ko bhi dekhlega.
Iske baad khabr usse iss tarah dabati hai ke phasliyaan apas mein ek dusre mein ghuss jati hain.
Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek haat ki ungliyaan dusre haat mein daal kar bataya ke iss tarah ek janib ki phasliyaan dusre janib mein ghuss jati hain.
Aur Allah ta'ala iss par 70 asdahe (phaytons) aise musalat kar dete hain, ke agar ek bhi inn mein se Zameen par phankaar maarde toh iske (zehrile) asar se qayamat tak zameen par ghans (grass) ugna band hojaye,
Woh usko qayamat tak kaat'te aur daste rahenge.
Nabi kareem (Sallallahu Sallallahu Alaihi) ne irshaad farmaaya: khabr jannat ke baaghon mein se ek baagh hai ya jahanum ke gaddhaon mein se ek gaddha.
[sunan, Tirmidhi],(4/639) No 2460]
Muntakib Ahadith, page no 91, 92 Hadith no 139
--------------------------
English Translation
--------------------------
Abu Sa'eed narrated:
" The Messenger of Allah (s.a.w) entered his Musalla and saw the people who looked as if they were smiling.
So he said: 'Indeed, if you were to increase in remembrance of the severer of pleasures, then you would find yourselves too busy for what I see.
So increase in remembrance of death, the severer of pleasures. For indeed there is no day that comes upon the grave except that it speaks, saying:
"I am thee house of the estranged,
I am the house of the solitude,
I am the house of dust, and I am the house of the worm-eaten." When the believing worshipper is buried, the grave says to him: "Welcome, make yourself comfortable. Indeed, to me,
you are the most beloved of those who walked upon me. Since you have been entrusted to me and delivered to me today, you shall see what I have arranged for you." It will then widen for him so that his sight extends, and the door to Paradise is opened for him.
And when the wicked worshipper or the disbeliever is buried , the grave says to him: "You are not welcome, do not get comfortable. Indeed, to me, you are the most hated of those who walked upon me.
Since you have been entrusted to me and delivered to me today, you shall see what I have arranged for you.'" He said: 'It will begin closing in on him(squeezing him) until his ribs are crushing each other.
'" He said: " The Messenger of Allah (s.a.w) clasped some of his fingers between others and said: 'Seventy giant serpents will constrict him, if even one of them were to hiss on the earth, nothing upon it would grow as long as it remained.
They will chew on him and bite him until he is brought to the Reckoning.'" He said: " The Messenger of Allah (s.a.w) said: 'The grave is but a garden from the gardens of Paradise, or a pit from the pits of the Fire.'"
Jamai-Al-Tirmidhi, English reference : Vol. 4, Book 11, Hadith 2460Arabic reference : Book 37, Hadith 2648
Muntakib Ahadith, page no 92, 93 Hadith no 139
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Abu Huraira Radi-Allahu-Anhu riwaayat karte hain ke Rasool Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ne irshaad farmaaya:
Tum Allah Ta'ala se Dua ki qubooliyat ka yaqeen rakhte huwe dua maango.
Aur ye baat samajhlo ke Allah Ta'ala iss shaqs ki dua ko qabool nahi farmaate jiss ka dil (dua maangte waqt) Allah Ta'ala se ghaafil ho,
Allah Ta'ala ke ghair mein laga huwa ho.
[Tirmizi]
Muntakhab Ahadith,
Ilm-o-Zikr,
Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Manqool Azkaar-o-dua'en,
Hadith no 202
##################################
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Habeeb Bin Muslima Fehri Radi-Allahu-Anhu farmaate hain ke maine Rasool Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ko ye irshaad farmaate huwe suna:
Jo jamaat ek jagah jamaa ho aur inn mein se ek dua kare aur dusre aameen kahe to Allah Ta'ala inki dua zaroor qabool farmaate hain.
[Mustadark Hakim]
Muntakhab Ahadith,
Ilm-o-Zikr,
Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Manqool Azkaar-o-dua'en,
Hadith no 203
##################################
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Zaheer Numairi Radi-Allahu-Anhu riwaayat karte hain ke hum ek raat Rasool Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ke saath nikle to hamara guzar ek shaqs ke pass se huwa,
jo bahot aajizi ke saath dua mein laga huwa tha.
Nabi Kareem (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) iss ki dua sunne khade ho gaye, aur phir irshaad farmaaya:
Ye dua qubool karwa lega agar iss par mohar laga de.
Logon mein se ek shaqs ne arz kiya kis cheez ke saath mohar lagaye?
Aap (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ne farmaaya: Aameen ke saath.
Bilashuba agar iss ne aameen ke saath mohar lagadi (yaani dua ke khatm par aameen kehdi) to iss ne dua ko qubool karwa liya.
Phir iss shaqs ne (jiss ne Nabi Kareem (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) se mohar ke baare mein dariyaaft kiya tha) uss (dua maangne waale) shaqs se jaa kar kaha Falaan! Aameen ke saath dua ko khatm karo.
Aur dua ki qabooliyat ki khushkhabri haasil karo.
[Abu Dawood]
Muntakhab Ahadith,
Ilm-o-Zikr,
Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se Manqool Azkaar-o-dua'en,
Hadith no 204
##################################
##################################
---------------------------
English Translation
---------------------------
Bismillahirrahmanirrahim
Abu Hurairah Radiyallahu 'anhu narrates that Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam said:
Supplicate to Allah with absolute belief that your Du'a will be accepted.
And know that Allah Subhanahu wa Ta'ala does not answer a Du'a that comes from a careless and inattentive heart. (Tirmidhi)
Muntakhab Ahadith,
ILM & DHIKR,
DUA (SUPPLICATION) AND DHIKR (REMEMBERENCE) NARRATED FROM RASUL SALLALLAHU 'ALAIHI WASALLAM,
Hadith no 202
##################################
Bismillahirrahmanirrahim
Habib ibn Maslama Al-Fihri Radiyallahu 'anhu narrates: I heard Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam saying:
There is not an assembly in which some persons supplicate, and others say Amin, except that Allah responds to their Du'a. (Mustadrak Hakim)
Muntakhab Ahadith,
ILM & DHIKR,
DUA (SUPPLICATION) AND DHIKR (REMEMBERENCE) NARRATED FROM RASUL SALLALLAHU 'ALAIHI WASALLAM,
Hadith no 203
##################################
Bismillahirrahmanirrahim
Zuhair Numairy Radiyallahu 'anhu narrates that we went out with Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam one night and came upon a man,
who humbly persisted in Du'a (supplication).
Nabi Sallallahu 'alaihi wasallam stood and listened to his Du'a, and then said:
He will have his Du'a accepted, if he puts a seal to it.
One of us asked: By what should he seal it?
He replied: By Amin! If he indeed seals it with Amin, then this guarantees acceptance of Du'a.
At this, the person who had asked Nabi Sallallahu 'alaihi wasallam went to the person who was supplicating, and said: Seal your Du'a with Amin O so and so!
And take the glad tidings (of its acceptance). (Abu Dawud)
Muntakhab Ahadith,
ILM & DHIKR,
DUA (SUPPLICATION) AND DHIKR (REMEMBERENCE) NARRATED FROM RASUL SALLALLAHU 'ALAIHI WASALLAM,
Hadith no 204
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Ye deen hamesha galib rahega 12 khalifa hone tak aur wo barah khalifa Quraish mein se honge
----------
✦ Jabir bin Samurah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:
Ye deen hamesha galib rahega 12 khalifa hone tak,
ye sunte hi logo ne Allahu Akbar ke naare lagaye phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:
wo barah khalifa Quraish mein se honge,
Jab Aap Sallallahu Alaihi wasallam apne ghar wapas laut gaye to Quraish ke kuch log aapke pass aaye aur kaha ki uske baad kya hoga to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Harj yani Qatl e aam hoga
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 876,877 –Sahih
----------
✦ जाबिर बिन समुराह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया:
ये दीन हमेशा ग़ालिब रहेगा 12 खलीफा होने तक,
ये सुनते ही लोगो ने अल्लाहू अकबर के नारे लगाए फिर आप सललाल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया:
वो बारह खलीफा क़ुरैश में से होंगे,
जब आप सललाल्लाहू अलैही वसल्लम अपने घर वापस लौट गये तो क़ुरैश के कुछ लोग आपके पास आए और कहा की उसके बाद क्या होगा तो आप सललाल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया हर्ज यानी क़त्ल ए आम होगा
सुनन अबू दावूद , जिल्द 3, 876,877 सही
----------
✦ Narrated Jabir bin Samurah Radi Allahu Anhu I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam say: This religion will continue to be strong till the time of twelve caliphs.
The people then uttered: Allah is more great and uproared.
He Sallallahu Alaihi wasallam said: All of them will belong to Quraish.
When he Sallallahu Alaihi wasallam came back to his home.
the Quraish came to him and said: Then what will happen ?
He Sallallahu Alaihi wasallam said: Then there will be Al-Harj ( lot of kiiling)
Sunan Abu Dawud, Book 37, 4267,4268–Sahih ( Kitab Al-Mahdi)
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
BismillahirRahmanirRahim
*✦ Mafhum-e-Hadith: Ramazan mein Umrah karna Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke saath Hajj karne ke barabar hai*
-----------------------
✦ Ibn Abbas radi allahu anhuma ne farmaya ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalllam jab Hajj-e-vida se wapas huye to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne umm sinan ansariya aurat se farmaya ki tum Hajj karne (kyun) nahi gayee ? usne kaha ki falaah ke walid yani mere khawind (husband) ke pass do oont (camel) pani pilane ke liye they ek par to wo khud Hajj ko chale gaye aur dusra hamari zameen sairab karta hai is par Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Ramzan mein Umrah kar lena kyunki ye mere saath hajj karne ke barabar hai.
Sahih Bukhari, Vol3, 1863
✦ Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se ek shaksh ne pucha ki Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath hajj karne ke barabar (sawab mein) dusri Ibadat kaunsi hai ?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Ramzan mein Umrah karna mere saath hajj karne ke barabar hai
Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 222 -Sahih
--------------------------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم حجۃ الوداع سے واپس ہوئے تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے ام سنان انصاریہ عورت رضی اللہ عنہا سے دریافت فرمایا کہ تو حج کرنے نہیں گئی؟ انہوں نے عرض کی کہ فلاں کے باپ یعنی میرے خاوند کے پاس دو اونٹ پانی پلانے کے تھے ایک پر تو خود حج کو چلے گئے اور دوسرا ہماری زمین سیراب کرتا ہے۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اس پر فرمایا کہ رمضان میں عمرہ کرنا میرے ساتھ حج کرنے کے برابر ہے،
صحیح بخاری جلد ۳ ۱۸۶۳
عبدالله ابن عباس رضی اللہ عنہ سے روایت ہے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے ایک شخص نے پوچھا کہ آپ صلی الله علیه وسلم کے ساتھ حج کرنے کے برابر دوسری عبارت کونسی ہے
آپ صلی الله علیه وسلم نے فرمایا کی رمضان میں عمرہ کرنا میرے ساتھ حج کرنے کے برابر ہے
سنن ابی داؤد جلد ۱ ۲۲۲ صحیح
___________________
✦ इब्न अब्बास रदी अल्लाहु अन्हुमा ने फ़रमाया की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम जब हज्ज ए विदा से वापस हुए तो आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने उम्म सिनान अन्सारिया खातून से फ़रमाया की तुम हज करने (क्यूँ) नहीं गयी ? उसने कहा की फलाह के वालिद यानि मेरे खाविंद (शोहर) के पास दो ऊँट पानी पिलाने के लिए थे एक पर तो वो खुद हज को चले गए और दूसरा हमारी ज़मीन सैराब करता है इस पर आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया की रमज़ान में उमरा कर लेना क्यूंकि ये मेरे साथ हज करने के बराबर है
सही बुखारी , जिल्द 3 , हदीस 1863
✦ इब्न अब्बास रदी अल्लाहु अन्हुमा ने फ़रमाया की रसूल अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम से एक शख्स ने पूछा की आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम के साथ हज करने के बराबर (सवाब में) दूसरी इबादत कौनसी है ?
आप अल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने फ़रमाया की रमज़ान में उमरा करना मेरे साथ हज करने के बराबर है
सुनन अबू दावूद , जिल्द 1 , हदीस 222 -सही
Narrated Ibn `Abbas:
When the Prophet (ﷺ) returned after performing his Hajj, he asked Um Sinan Al-Ansari, "What did forbid you to perform Hajj?" She replied, "Father of so-and-so (i.e. her husband) had two camels and he performed Hajj on one of them, and the second is used for the irrigation of our land." The Prophet (ﷺ) said (to her), "Perform `Umra in the month of Ramadan, (as it is equivalent to Hajj or Hajj with me (in reward).
Sahih al-Bukhari 1863
In-book reference Book 28, Hadith 43
(English) reference Vol. 3, Book 29, Hadith 86
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
Hazrat Abu Huraira (Radiallahu anhu) farmaate hain ke maine Rasool Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko irshaad farmaate huwe suna:
Allah Ta'ala farmaate hain:
Maine surah fateha ko apne aur apne bande ke darmiyaan adha adha taqseem kar diya hai,
(pehli adhi surat ka ta'luq mujhse hai aur adhi surat ka ta'luq mere bande se hai) aur mere bande ko woh milega jo woh maange ga.
Jab banda kehta hai'' (الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Alhamdu lillaahi Rabbil 'aalameen) sab tareefein Allah Ta'ala ke liye hain jo tamaam jahanon ke Rabb hain''
Toh Allah Ta'ala irshaad farmaate hain: Mere bande ne meri khoobi bayaan ki.
Jab banda kehta hai (الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ
Ar-Rahmaanir-Raheem) ''jo bade meherbaan nihaayat rehem waale hain" toh Allah Ta'ala irshaad farmaate hain: Mere bande ne meri tareef ki,
Jab banda kehta hai (مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ
Maaliki Yawmid-Deen) "jo jaza aur saza ke din ke malik hai" toh Allah Ta'ala irshaad farmaate hain:
Mere bande ne meri badhayi bayaan ki.
Jab banda kehta hai (إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
Iyyaaka na'budu wa lyyaaka nasta'een) "hum Aap hi ki ibaadat karte hain aur Aap hi se madad maangte hain" toh Allah Ta'ala irshaad farmaate hain:
"ye mere aur mere bande ke darmiyaan hai yaani ibaadat karna mere liye hai aur madad maangna bande ki zaroorat hai aur mera banda jo maange ga woh ise diya jayega.
Jab banda kehta hai " (اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ
Ihdinas-Siraatal-MustaqeemSiraatal-lazeena an'amta 'alaihim ghayril-maghdoobi 'alaihim wa lad-daaalleen) "humein sidhe raaste par chala dijiye, inn logon ke raaste par jin par Aap ne fazal farmaaya hai, na unn logon ke raaste par jin par Aap ka ghazab nazil huwa aur woh gumraah huwe" toh Allah Ta'ala irshaad farmaate hain:
Surat ka ye hissa khalis mere bande ke liye hai aur mere bande ne maanga woh ise mil gaya.
Sahih-Al-Muslim
Sunan an-Nasa'i 909
Muntakhab Ahadith,
Namaz,
Sunan-O-Nawafil,
Hadith no 198
----------------------
English Translation
----------------------
Abu Hurairah Radiyallahu 'anhu repoted I heard Rasullullah Sallallahu 'alaihi wasallam narrating a Hadith Qudsi that Allah Ta'ala has said: I have divided Surah Fatiha into two halves between Me and My slave, and My slave will receive what he asks. So, when His slave says: Alhamdulillahi Rabbil 'alamin (Praise be to Allah, The Rabb of the universe). Allah Subhanahu wa Ta'ala says: My slave has praised Me! And when His slave says: Arrahmanirrahim (The Compassionate, The Merciful). Allah Subhanahu wa Ta'ala says: My slave has extolled Me! And when His slave says: Maliki Youmiddin (The Master of the Day of Judgement i.e. of Reward and Punishment). Allah says: My slave has glorified Me! (or) entrusted Me! And when His slave says: Iyyaka na'budu wa iyyaka nasta'in (You alone do we worship, and You alone do we seek for help). Allah says: This is between Me and My slave, so whatever he asks, it will be granted. And when His slave says: Ihdinas siratal mustaqlm siratal ladhina an'amta 'alaihim ghairil maghdiibi 'alaihim waladdallin (Guide us to the straight path, the path of those upon whom You have bestowed favours; and not of those who have incurred Your wrath; nor of those who have gone astray). Allah says: This (part of the Surah is exclusively) for My slave; and My slave shall receive whatever he has asked for.
Sahih-Al-Muslim
Sunan an-Nasa'i 909
Muntakhab Ahadith,
Salat-prayers,
Sunnah and Nafilah - Non-Obligatory Prayers,
Hadith no 198
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
✦ Naye chand ko dekhkar padhne ki dua ✦
اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
--------------
Talha bin Ubaidullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab chand dekhte to ye dua padhte
Allahumma ahillahu alaina bil-amni wal-iman, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah, Hilalu rushdin wa khairin
Tarjuma: Eh Allah hum par is chand ko khair , imaan , salamati aur islam ke saath tulu farma (Eh chand) mera aur tera RAB Allah hi hai, ye chand hidayat aur khair wala ho
Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1376-Hasan
--------------
तल्हा बिन अब्दुल्लाह रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम जब चाँद देखते तो ये दुआ पढ़ते
अल्लहुम्मा अहिल्लाहू अलैना बिल-अमनि वल-ईमान, वस-सलामती
वल-इस्लाम, रब्बी वा रब्बुक-अल्लाह, हिलालू रुश्दिन व ख़ैरीन
तर्जुमा : एह अल्लाह हम पर इस चाँद को खैर , ईमान , सलामती और इस्लाम के साथ तुलु फरमा, (एह चाँद) मेरा और तेरा रब अल्लाह ही है, ये चाँद हिदायत और खैर वाला हो
जामी तिरमिज़ी , जिल्द 2, 1376-हसन
--------------
طلحہ بن عبد اللہ رضی الله انہو سے روایت ہے کی رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم جب چاند دیکھتے تو یہ دعا پڑھتے
اللَّهُمَّ أَهِلَّهُ علَيْنَا بِالأَمْنِ والإِيمَانِ وَالسَّلامَةِ والإِسْلامِ ، رَبّي ورَبُّكَ اللَّه هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
اے اللہ ہم پر اِس چاند کو خیر ، ایمان ، سلامتی اور اسلام كے ساتھ طلوع فرما ( اے چاند) میرا اور تیرا رب اللہ ہی ہے ، یہ چاند ہدایت اور خیر والا ہو
١٣٧٦ - حسن جامہ ترمزی جلد ٢ حدیث
--------------
Narrated Talhah bin Ubaidullah Radi Allahu Anhu
At the sight of the new moon, the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to supplicate:
Allahumma ahillahu alaina bil-amni wal-iman, was-salamati wal-Islam, Rabbi wa Rabbuk-Allah, Hilalu rushdin wa khairin
O Allah, let this moon appear on us with security and Iman; with safety and Islam. (O moon!) Your RAB and mine is Allah, May this moon be bringing guidance and good
Jamin Tirmidhi, Book 9, 1228-Hasan
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-hadith: Iftar ke baad ki dua
ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ
----------
Marwan ibn Salim al-Muqaffa Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Ibn umar Radhi allahu anhu ne farmaya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam jab iftar karte to ye dua padhte they
ZahabAzzamaau wa Abtallatilurooq, wa sabat-alajru, In sha Allah
( Pyas bujh gayee , ragein tar ho gayee aur ajar sabit ho gaya agar Allah ne chaha )
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 585-Hasan
----------
ابن عمر رضی اللہ عنہ نے فرمایا رسول الله علیہ وسلم جب افطار کرتے تو یہ دعا پڑ پڑھتے تھے
ذَهَبَ الظَّمَأُ وَابْتَلَّتِ الْعُرُوقُ وَثَبَتَ الأَجْرُ إِنْ شَاءَ اللَّهُ
( پیاس بجھ گئی ، رگیں تر ہو گئی اور اَجْر ثابت ہو گیا اگر اللہ نے چاہا ترجمہ:)
سنن ابو داوود جلد ٢ حدیث ٥٨٥ - حسن
----------
इब्न उमर रदी अल्लाहु अन्हु ने कहा की रसूल अल्लाह सललल्लाहू-अलैही-वसल्लम
जब इफ़्तार करते तो ये दुआ पढ़ते थे
ज़हबअज़्ज़माउ व अब्तल्लतीलऊरुक़ व सबत-अलअजरु इन-शा-अल्लाह
(तर्जुमा: प्यास बुझ गयी, रगें तर हो गयी , और अजर साबित हो गया अगर अल्लाह ने चाहा)
सुनन अबू दाऊद , जिल्द 2, 585 - हसन
----------
Marwan ibn Salim al-Muqaffa' said:
Ibn Umar Rahi allahu anhu said that the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said when he broke his fast:
ZahabAzzamaau wa Abtallatilurooq, wa sabat-alajru, In sha Allah
( Translation: Thirst has gone, the arteries are moist, and the reward is sure, if Allah wills.)
Sunan Abu Dawud, Book 13, 2350-Hasan
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
------------
✦ Hadith : Jab tumhare pass koi aisa shakhs (rishta lekar) aaye jiska akhlaq aur deen tumhe pasand ho to us se nikah kar do
------------
✦ Abu Hurairah radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya jab tumhare pass koi aisa shakhs (rishta lekar) aaye jiska akhlaq aur deen tumhe pasand ho to us se nikah kar do, agar tum aisa nahi karoge to zameen mein fitna aur fasad phail jayega
As Silsila As sahiha, 1886
------------
رسول الله ﷺ نے فرمایا جب تمہارے پاس کوئی ایسا شخص (رشتہ لے کر) آئے جس کا اخلاق اور دین تمہیں پسند ہو تو اس سے نکاح کر دو، اگر اس طرح نہ کرو گے تو زمین میں فتنہ فساد پھیل جائے گا
سلسلہ اس صحیحہ ١٨٨٦
------------
✦ अबू हुरैरह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया जब तुमहारे पास कोई ऐसा शख्स (रिश्ता लेकर) आए जिसका अख़लाक़ और दीन तुम्हे पसंद हो तो उस से निकाह कर दो, अगर तुम ऐसा नही करोगे तो ज़मीन में फितना और फ़साद फैल जाएगा
आस सिलसिला आस साहिहा, 1886
---------------------
✦ Narrated by Abu Hurairah radi Allahu anhu that The prophet Sallallahu alaihi wasallam said that if anybody come to you (with marrige offer) who has good character and religiously committed then marry to him. If you do not do so, there will be trials in the earth and a great deal of evil
As Silsila As sahiha, 1886
------------
✦ Hadith : if anybody come to you (with marrige offer) who has good character and religiously committed then marry to him
------------
✦ Narrated by Abu Hurairah radi Allahu anhu that The prophet Sallallahu alaihi wasallam said if anybody come to you (with marrige offer) who has good character and religiously committed then marry to him. If you do not do so, there will be trials in the earth and a great deal of evil
As Silsila As sahiha, 1886
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
-------------------
✦ Mafhum-e-Hadith : Bukhar se aakhirat ka azab kam hota hai
-------------------
✦ Abu Huraira Radi Allahu Anhu se rivayat hai RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ek baar (Bukhar ke) ek mariz ki ayadat ke liye tashrif le gaye,
(aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath Abu Huraira Radi Allahu Anhu bhi they),
Rasool-Allah SaliAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Khush ho jao, Allah Subhanahu farmate hai Ye Meri Aag hai,
Main isse Apne Momeen bande par iss duniya Mein isliye Musallat karta hu taake Wo akhirat ki aag Ka badla ban jaye
Al-Silsila As-Sahiha #3213
✦ Aisha Radiallahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Bukhar jahannam ki bhaap (garmee) ke asar se hota hai isey paani se thanda kiya karo
Sahih Bukhari, Jild 4,3263
---------------
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है ऱसूलअल्लाह सल-अल्लाहू अलैहि वसल्लम एक बार (बुखार के) एक मरीज़ की अयादत ले लिए तशरीफ़ ले गये (और आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम के साथ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु भी थे) रसूल-अल्लाहसलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया खुश हो जाओ अल्लाह सुबहानहु फरमाते है ये मेरी आग है में इससे अपने मोमीन बंदे पर इस दुनिया में इसलिए मुसल्लत करता हूँ हू ताके वो आख़िरत की आग का बदल बन जाए
अल-सिलसिला आस-सहिहा हदीस 3213
✦ आयशा रदी अल्लाहु अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया बुखार जहन्नम की भाप (गर्मी) के असर से होता है इसे पानी से ठंडा किया करो
सही बुखारी, जिल्द 4,3263
---------------
ابو ہریرہ ‌رضی اللہ عنہ سے روایت ہے كہ آپ ﷺ ایک بار ایک مریض كی عیادت کے لئے تصریف
لے گئے ( اور آپ ﷺکے ساتھ ابوہریرہ‌ رضی اللہ عنہ تھے) رسول اللہ ﷺ ‌نے(اس سے) كہا خوش ہو جاؤ، اللہ تعالیٰ فرماتا ہے یہ میری آگ ہے جو میں دنیا میں اپنے مومن بندے پر مسلط كرتا ہوں تاكہ آخرت میں ملنے والے عذاب کا بدل بن جائے
السلسلہ اس صحیحہ حدیث ٣٢١٣
حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا نے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا بخار جہنم کی بھاپ میں سے ہے اس لیے اسے پانی سے ٹھنڈا کرو
صحیح بخاری، جلد ٤، ٣٢٦٣/
---------------
✦ Fever reduce the punishment of the Hereafter
---------------
✦ It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet (ﷺ) visited a sick person due to an illness (of fever) that he was suffering from (and Abu Hurairah was with him.)The Messenger of Allah (ﷺ) said: Be of good cheer, for Allah says: It is My fire which I have causes to overwhelm My believing slave in this world, to be his share of the Fire in the Hereafter. (It means it will reduce the punishment of the Hereafter)
Al-Silsila As-Sahiha Hadees # 3213
✦ Narrated Aisha Radi allahu anha: The Prophet ﷺ said Fever is from the heat of the (Hell) Fire, so cool it with water.
Sahih Bukhari, Book 54, No. 485
Tumblr media
0 notes
mkmbhai · 5 years
Text
Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith : jis shakhs ne nashe ki wajah se ek namaz chorh di to wo aisa hai jaise ki duniya ka sara saman us se cheen liya gaya
---------
✦ Abdullah ibn umar radi Allahu anhuma se rivayat hai ki RasoolAllah SallAlalahu alaihi wasallam ne farmaya:
jis shakhs ne nashe ki wajah se ek namaz chorh di to wo aisa hai jaise ki duniya aur uska sara saman is ka tha aur us se wapas cheen liya gaya,.
aur jis shakhs ne nashe ki wajah se char baar namaz corh di to Allah subhanahu par lazim hai usko Teenat-Al-Khabal peelaye,
pucha gaya ki Ya Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam! Teenat-Al-Khabal kya cheez hai ?
Aapne farmaya: Ahl-e-jahannam ki Peep
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 732
✦ Comments : Jab Nashe ki wajah se namaz chorh dene ki itni badi saza hai to zara gaur kijiye jo log nashe mein nahi hote aur sirf apne job ya tijarat ke liye jaanbujh kar namaz chorh dete unka kya hashr hoga.
---------
رسول صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا جس شخص نے نشے كی وجہ سے ایك نماز چھوڑدی تو وہ ایسے ہے گویا کہ دنیا اور اس کا تمام سامان اس کا تھا ارو یہ اس سے چھن گیا ہے، اور جس شخص نے نشے كی وجہ سے چار مرتبہ نماز چھوڑ ی تواللہ تعالیٰ پر لازم ہے كہ اسے طینۃ الخبال پلائے۔ پوچھا گیا یہ طینۃ الخبال كیا چیز ہے ؟ اے اللہ كے رسول؟ آپ نے فرمایا: اہل جہنم كا پیپ
السلسلہ صحیحہ ٧٣٢
---------
✦ अब्दुल्लाह इब्न उमर रदी अल्लाहू अन्हुमा से रिवायत है की रसूल अल्लाह सलअल्लाहु अलैही वसल्लम ने फरमाया जिस शख्स ने नशे की वजह से एक नमाज़ छोड़ दी तो वो ऐसा है जैसे की दुनिया और उसका सारा समान उस का था और उस से वापस छीन लिया गया और जिस शख्स ने नशे की वजह से चार बार नमाज़ छोड़ दी तो अल्लाह सुबहानहु पर लाज़िम है उसको तीनत-अल-खबाल पीलाए ,पूछा गया की या रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम तीनत-अल-खबाल क्या चीज़ है तो आपने फरमाया अहल-ए-जहन्नम की पीप
अल-सिलसिला-अस-साहिहा हदीस # 732
✦ नोट : जब नशे की वजह से नमाज़ चोरह देने की इतनी बड़ी सज़ा है तो ज़रा गौर कीजिए जो लोग नशे में नही होते और सिर्फ़ अपने काम या तिजारत के लिए जानबूझ कर नमाज़ छोड़ देते उनका क्या अंजाम होगा
✦ Hadith : Whoever gets drunk and leave a salah (prayer) then he will be like the one who had whole world has been taken back from him
-----------------
✦ Narrated by Abdullah ibn umar radi Allahu anhuma RasoolAllah SallAlalahu alaihi wasallam said whoever gets drunk and leave a salah (prayer) then he will be like the one who had whole world and whatever in it ,and has been taken back from him and whoever leaves four prayer due to drunk , then it is binding on Allah that he will give him to drink Teenat-Al-Khabal , The people asked Ya Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam what is Teenat-Al-Khabal , he said the discharge of wounds, flowing from the people of Hell.
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 732
---------
Comments : Just think , because of the drinking wine if anybody neglect prayer then he will get this much punishment ,
what about those , who left prayer intentionally just because of their job or business or any other reason.
Tumblr media
0 notes